SEARCH RESULTS
Showing search results for "motiye"
Sher MATCHES FOR "motiye"
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
Rajendera Krishan
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
udaas aa.nkho.n se aa.nsuu nahii.n nikalte hai.n
ye motiyo.n kii tarah siipiyo.n me.n palte hai.n
Bashir Badr
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
kisii ne chuum ke aa.nkho.n ko ye du.aa dii thii
zamiin terii KHudaa motiyo.n se nam kar de
Bashir Badr
Sher
aa.nsuu hamaare gir ga.e un kii nigaah se
in motiyo.n kii ab ko.ii qiimat nahii.n rahii
Jaleel Manikpuri
Sher
sunaa hai aise bhii hote hai.n log duniyaa me.n
ki jin se miliye to tanhaa.ii KHatm hotii hai
Iftikhar Shafi
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
jo motiyo.n kii talab ne kabhii udaas kiyaa
to ham bhii raah se ka.nkar sameT laa.e bahut
Shakeb Jalali
Sher
Shad Azimabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
raah me.n miliye kabhii mujh se to az-raah-e-sitam
ho.nT apnaa kaaT kar fauran judaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
mujh se tanhaa.ii me.n gar miliye to diije gaaliyaa.n
aur bazm-e-Gair me.n jaan-e-hayaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
bandhan saa ik ba.ndhaa thaa rag-o-pai se jism me.n
marne ke baa'd haath se motii bikhar ga.e
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
us but ke nahaane se hu.aa saaf ye paanii
motii bhii sadaf me.n tah-e-dariyaa nazar aayaa