SEARCH RESULTS
Showing search results for "muhtaaj"
Sher MATCHES FOR "muhtaaj"
Sher
Raza Mauranvi
Sher
husn ke jalve nahii.n muhtaaj-e-chashm-e-aarzuu
sham.a jaltii hai ijaazat le ke parvaane se kyaa
Anand Narayan Mulla
Sher
pastii ne bulandii ko banaayaa hai haqiiqat
ye rif.at-e-aflaak bhii muhtaaj-e-zamii.n hai
Saba Akbarabadi
Sher
mai.n auro.n ko kyaa parkhuu.n aa.ina-e-aalam me.n
muhtaaj-e-shanaasaa.ii jab apnaa hii chehraa hai
Wahid Premi
Sher
the yahaa.n saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagii bhii hame.n darkaar thii marne ke liye
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
kyaa zaruurii hai ye iqraar kii muhtaaj rahe
ham mohabbat ko yuu.n laachaar kare.n bhii ki nahii.n
Navin Joshi
Sher
kahe.n aduu na kahe.n mujh ko dekh kar muhtaaj
ye un ke bande hai.n jin ko kariim kahte hai.n
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
muhtaaj nahii.n qaafila aavaaz-e-daraa kaa
siidhii hai rah-e-but-kada ehsaan KHudaa kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
muhtaaj-e-zeb-e-aariyatii kab hai zaat-e-baht
allaah kaa qadiim se hai naam be-nuqat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil do jigar-o-jaan bhii iimaan bhii ye kyaa
muhtaaj nahii.n par ba.De bisyaar-talab ho
Mohammad Shamsuddin Aajiz
Sher
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
mai.n jaagtaa huu.n tiraa KHvaab dekhne ke liye
Azhar Inayati
Sher
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa
Parveen Shakir
Sher
tanhaa.ii me.n karnii to hai ik baat kisii se
lekin vo kisii vaqt akelaa nahii.n hotaa