SEARCH RESULTS
Showing search results for "muzaffar"
Sher MATCHES FOR "muzaffar"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
KHud pukaaregii jo manzil to Thahar jaa.uu.ngaa
varna KHuddaar musaafir huu.n guzar jaa.uu.ngaa
Muzaffar Razmi
Sher
vatan kii ret zaraa e.Diyaa.n raga.Dne de
mujhe yaqii.n hai ki paanii yahii.n se niklegaa
Muzaffar Warsi
Sher
Muzaffar Warsi
Sher
qariib aa.o to shaayad samajh me.n aa jaa.e
ki faasle to Galat-fahmiyaa.n ba.Dhaate hai.n
Muzaffar Razmi
Sher
suntaa huu.n ki tujh ko bhii zamaane se gila hai
mujh ko bhii ye duniyaa nahii.n raas aa.ii idhar aa
Muzaffar Hanfi
Sher
kuchh na kahne se bhii chhin jaataa hai ejaaz-e-suKHan
zulm sahne se bhii zaalim kii madad hotii hai
Muzaffar Warsi
Sher
rotii hu.ii ek bhii.D mire gird kha.Dii thii
shaayad ye tamaasha mire ha.nsne ke liye thaa
Muzaffar Hanfi
Sher
mujh se mat bolo mai.n aaj bharaa baiThaa huu.n
cigarette ke dono.n paikeT bilkul KHaalii hai.n
Muzaffar Hanfi
Sher
har shaKHs par kiyaa na karo itnaa e'timaad
har saaya-daar shai ko shajar mat kahaa karo
Muzaffar Warsi
Sher
Muzaffar Razmi
Sher
jabhii to umr se apnii ziyaada lagtaa huu.n
ba.Daa hai mujh se ka.ii saal tajraba meraa