aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "muzaffar"
samajhte kyaa ho tum dil kobil-aaKHir kyaa samajhte hokabhii kahte ho patthar haitaraasho KHuub nikhregaakabhii shiisha samajhte hojo aa.ndhii ne bikheraa hosiyah vo raaz sadiyo.n keisii dil me.n chhupaate hokabhii murda sii yaado.n kobhii siine me.n dabaate homai.n aksar farz kartii huu.nmai.n jo tum se agar kah duu.nki dil me.n ko.ii bastaa hainigaaho.n me.n utartaa haibahaaro.n me.n sa.nvartaa haivo dil ko ghar bataataa haivo ghar me.n but banaataa haivo KHud kaa aks chintaa haivo dil ko chaak kartaa haimai.n us kii kaarsaazii me.nKHamoshii se ta.Daptii huu.nuse apnaa bataane keamal ko phir jhapaTtii huu.ndu.aa kartii huu.n qudrat seki jis ne ghar banaayaa thaajise ghar kaa makii.n jaanaause mehmaan kar de toto qudrat phir mire haatho.nko kuchh auzaar detii haimai.n apne aap hii is dilke ghar ko noch detii huu.ntumhe.n ma.aluum hai kitniimai.n ab takliif sahtii huu.nki jab diivaar ko ghar kiimai.n KHud hii saaf kartii huu.nmai.n aksar farz kartii huu.nmai.n jo tum se agar kah duu.nki dil me.n ab nahii.n ko.iiye dil banjar zamii.n ko.iito kyaa tum phir bhii aa.ogeto kyaa dil ko sa.nvaaroge
tumhaarii aa.nkhe.n sharaartii hai.ntum apne piichhe chhupe hu.e hobaGaur dekhuu.n tumhe.n to mujh kosharaarato.n par ubhaartii hai.ntumhaarii aa.nkhe.n sharaartii hai.n
labo.n pe alfaaz hai.n ki pyaaso.n kaa qaafila hainamii hai ye yaa furaat aa.ankho.n se bah rahii haihayaat aa.ankho.n se bah rahii haisipaah-e-fisq-o-fujuur yalGaar kar rahii haidilo.n ko mismaar kar rahii hai
ek majbuur kaa tan biktaa hai man biktaa haiin dukaano.n me.n sharaafat kaa chalan biktaa haisaudaa hotaa hai a.ndhero.n me.n gunaaho.n kaa yahaa.nzindagii naam hai ha.nstii hu.ii aaho.n kaa yahaa.nzinda laasho.n ke liye surKH kafan biktaa haijhuuTii ulfat ke ishaaro.n pe vafaa raqs karechand sikko.n ke chhanaake pe hayaa raqs karehusn-e-ma.asuum kaa be-saaKHta-pan biktaa haibech kar apnaa lahuu aag kamaa.ii jaa.eaabruu qaum kii siijo.n pe luTaa.ii jaa.esar-e-baazaar-e-havas pyaar kaa fan biktaa hai
bachcho.n ne iid par jab na.are bahut lagaa.emaa.n baap ne bhii apne dukh.De unhe.n sunaa.ebachcho tumhaarii iidii kaise ba.Dhaa.ii jaa.e
tum jo anjaan raaho.n me.nbe-naam logo.n sedin ke ujaale me.nraato.n ke mailo.n me.ntaptii do-pahrii kiichhaa.nv ke Dero.n me.nsaavan kii jhiilo.n kebahte jaziiro.n me.ntadbiire.n milne kiikarte ho yuu.nkarte ho kyo.n
faroG-e-chashm hai taskiin-e-dil hai be-gumaa.n urduhar ik aalam me.n hai goyaa bahaar-e-gul-fishaa.n urduko.ii dekhe to is kii quvvat-e-taKHliiq kaa aalambanaa saktii hai zer-e-charKH laakho.n aasmaa.n urdumuqallid jo nahii.n is kaa vo pahu.nchegaa na manzil parsar-e-har-jaada-e-manzil hai miir-e-kaarvaa.n urdumuhaafiz apnii quvvat se hai tahziib-o-tamaddun kiina kyuu.n ho irtiqaa-e-zindagii kii raaz-daa.n urdugulistaan-e-adab me.n jis qadar the muntashir jalvemunazzam kar chukii hai un ko misl-e-jism-o-jaa.n urdufazaa-e-ilm-o-fan par ye misaal-e-abr chhaa.ii haimazaaq-e-justujuu ban kar rag-e-dil me.n samaa.ii haizabaane.n aur bhii duniyaa me.n kuchh garmii-e-mahfil hai.nmagar manzil hai urdu aur vo sab gard-e-manzil hai.nhar ik andaaz raushan har bayaa.n pur-kaif hai is kaaadaa.e.n jis qadar bhii hai.n vo sharh-e-jazba-e-dil hai.nzamiin-e-sher is kii ik chaman-zaar-e-mohabbbat haihai.n jitne giit vo sab naGma-e-fitrat kaa haasil hairiyaazii ho ki mantiq falsafa ho yaa tasavvuf hosab is kii bazm me.n maujuud hai.n aur jaan-e-mahfil hai.nmilii hai.n jalva-e-fitrat kii sab ra.ngiiniyaa.n is komuraqqe is ke siine se lagaa lene ke qaabil hai.nrivaaj is kaa jahaa.n kii vus.ato.n me.n be-takalluf haiye paakiiza zabaa.n hai aur latiif is kaa tasarruf haimiTaa saktaa hai kaun aisii zabaan-e-paak-fitrat kodayaa dars-e-vafaa jis ne mazaaq-e-mulk-o-millat kojumuud-e-zindagii me.n hashr barpaa kar diyaa is neataa kii hai.n isii ne bijliyaa.n ehsaas-e-ulfat konizaam-e-zindagaanii par ba.Daa ehsaan hai is kaabahut aasaaniyaa.n is me.n mile.n tabliiG-e-fitrat korahe shaan-e-talaaqat lafz-o-ma.anii hai.n ki gul-buuTezahe auj-e-hazaaqat jaan de dii murda hikmat koye mumkin hai ki qaumo.n ko miTaa de gardish-e-aalammagar ko.ii miTaa saktaa nahii.n urdu kii azmat kohar ik tahriik is kii tarjumaan jazb-e-kaamil haiki har aaha.ng-e-urdu hamnavaa-e-barbat-e-dil hai
murGii aa.ii anDaa le karbandar aayaa Da.nDaa le karaa.e tote jhanDaa le kargaurayyaa sarkanDaa le kar
us ko albam dikhaate hu.emai.n batlaayaaye dekhiye ye meraa dost haiaaj kal Gaaliban kenya me.nrabar kii kisii farm me.n uu.nche ohde pe haius ne chehre ko lambaa banaa kar kahaamai.n use jaantaa huu.nka.ii baar do-chaar paig us ke hamraah bhii pii chukaa huu.nye chhe saal pahle mujhe kenya me.n milaa thaamagar us mulaaqaat ke duusre hii barasrail ke haadse me.n ye maaraa gayaa thaa!fazaa daf.atan dard se bhar ga.iisamajh me.n na aataa thaa mai.n us kii Dhaaras ba.ndhaa.uu.nki KHud chand taskiin ke lafz chaahuu.nto aisaa bhii hotaa haiye shaKHs jo mere albam ke is kaale panne ke albam pe baiThaa hu.aa muskuraataa haiaaj tak mere nazdiik zinda thaa yeaur mere ta.ii.n do gha.Dii pesh-tar hii maraa haito kyaa maut kaa duusraa naam hai aagahii!
haryaana kashmiir u.Diisa mahraashTra punjabkare.n tujhe aadaabkarnaaTak bangaal Aandhra tamil nadu aasaamkarte hai.n parnaamtere darvaaze par sar KHam keral raajasthaanmere hindostaan mere hindostaan
gul abbaas gulaab chambeliige.ndaa champaa belaa huuhiikal tak in se lade hu.e theaaj udaas kha.De hai.n paudechuuhe phuul kutar jaate hai.n
kis jagah mai.n ne us ko dekhaa thaakaun saa maahkaun saa din thaayaad is ke sivaa nahii.n kuchh bhiikaar zan se nikal ga.ii thii magarkaar se jhaa.nktaa hu.aa chehradekh kar mujh ko muskuraayaa thaajaane kyaa baat haiki mai.n jab bhiijis jagah bhii udaas hotaa huu.nkaar se jhaa.nktaa hu.aa chehrayaad aataa haimuskuraataa haiaur mai.n muskuraane lagtaa huu.n
ujjal ujjal komal komal chamkiilaa chamkiilaa chaa.ndna.ii navelii dulhan jaisaa sharmiilaa sharmiilaa chaa.ndvo dekho vo muskaata bal khaataa le kar a.ng.Daa.iiik baadal kii oT se niklaa chanchal shoKH sajiilaa chaa.ndujlii ra.ngat goraa mukh.Daa us pe rupahlii hai poshaaktaaro.n ke jhurmuT me.n kaisaa lagtaa hai bha.Dkiila chaa.ndruup anuup kii naav pe baiThaa kirno.n kii patvaar liyeniil gagan me.n tair rahaa hai sundar chhail-chhabiilaa chaa.ndham bhii chor sipaahii luk-chhup aa.nkh michaulii khele.ngetaaro.n ke sang khel rahaa hai uu.nchaa niichaa Tiila chaa.ndammii meraa chaa.nd to dekho baaluu-shaahii jaisaa hainik.hat baajii kaa hai kaisaa ka.Dvaa aur kasiilaa chaa.ndkirno.n kii sii.Dhii ke sahaare chhat par to aa pahu.nchaa haiaa.ngan me.n paanii na giraa.o ho jaa.egaa giilaa chaa.ndchandaa maamuu.n chandaa maamuu.n kahte kahte mu.nh suukhephir bhii apne paas na aa.e ziddii aur haTiilaa chaa.ndmunnaa aaGuu.n aaGuu.n kar ke jab bhii apne paas bulaa.edham se aa.ngan me.n aa kuude 'aKHtar' ra.ng-ra.ngiilaa chaa.nd
mohabbato.n ke khel me.nmohabbato.n ke devtaanai mujh se khel khel karharaa diyaa sa.nvaar karmujhe nahii.n KHabar yahiiki mere dil kii aah jomire hii dil ko aa lagiito kyo.n lagii kahaa.n lagiimujhe mire vajuud sejo ik zaraa bhii pyaar hoto phir usii vajuud me.nuse karuu.n talaash kyo.nye ashk hai.n mire agarto mujh se phir daGaa kiyeisii sanam-kade se yuu.nhai.n is tarah faraar kyo.nmai.n jaantii huu.n jo nahii.nmai.n kis tarah karuu.n bayaanmai.n kis tarah se duu.n sadaaki dil miraa hai bik chukaaye dil miraa hai bik chukaasanam ke is bazaar me.njahaa.n se ab vo gum-shudahai pyaar ke mazaar me.n
das ruupa.e fii botal paaniihakkaa-bakkaa rah ga.ii naaniiapnaa bachpan yaad kiyaa toarzaanii sii thii arzaaniibaarah aane ser aslii ghiigyaarah aane tola chaa.ndiikele the do paise darjanchaaval paa.nch aane pa.nseriibiscope ticket ek aanaek aTThannii kaa paajaamaschoolo.n me.n fees nahii.n thiicollage do ruupa.e maahaananaanaa kii tanKHvaah jo puuchhiikul pai.ntaaliis ruupaya nikliipai.ntaaliis hazaar ke lag-bhagpaate hai.n abbuu aur ammii
vo ek shaam qalam kho gayaa thaa jab meraabahut talaash kiyaa har taraf idhar ki udharmagar qalam kaa kahii.n par nishaa.n na haath aayaamirii talaash mirii kashmakash se ghabraa karmirii vo chhoTii sii beTii mire qariib aa.iiki jis ne likhnaa abhii bas abhii hii siikhaa haimire havaale kiyaa apnii ek pencil aurkahaa ki aap ise apne vaaste rakhiyemagar ajiib saa jaaduu hai us kii pencil me.nsivaa.e sach ke jo kuchh aur likh nahii.n paatiivo ek shaam bahut chaahaa kuchh likhuu.n lekinvo ek shaam ajab thii mai.n kuchh na likh paayaa
vaqt kii daldal me.n dha.nstaa jaa rahaa huu.nmere chaaro.n or gadlii lajlajii yaado.n kii tah haisar pe biitii umr ke TuuTe hu.e lamho.n kaa bojhis safar kii ibtidaa kaise hu.ii thiiye KHabar mujh ko nahii.nyaad bas itnaa haimere vaalid-e-marhuum kuchh uupar hii mujh se rah ga.e theintihaa kyaa hai safar kiikaun jaanesaa.ns kaa har taaziyaanamujh ko niiche aur niiche kii taraf hii khii.nchtaa haijaane mai.n tah tak bhii pahu.nchuu.ngaaki vaalid kii tarahapne bachcho.n ko bhii dha.nsne ke liye kah jaa.uu.ngaavaqt kii daldal me.n dha.nstaa jaa rahaa huu.n
KHargosh nenaadaanii me.nkaajal ghol diyaapaanii me.nniilii jhiil me.nkaalaa paaniikaalii hogii machhlii raaniibagule ko bhii pahu.nchaa sadmaKHargosho.n parkiyaa muqaddamaye achchhii tahriik nahii.n haila.Dnaa-bhi.Dnaa Thiik nahii.n haikachhve-jii kaa kahnaa maanoaapas me.n samjhautaa kar lo
abbuu ham ko Daa.nT rahe theappii ko ronaa aayaatum ne jaamun ma.ngvaa.e thelaDDuu kaa donaa aayaamaaro ghuTnaa phuuTe aa.nkhchhuTkii itnii ba.D mat haa.nkurfii ne chhakkaa maaraa thaagintii karnaa bhuul ga.esher ko dau.Daayaa haathii neaur mahaavat phuul ga.enekii kar dariyaa me.n Daalbachcho.n kii zarb-ul-amsaalchamkiile qaaliin ke niichekitnaa kaaTh kabaa.D chhupaa haimurGaa baiThaa hai anDe me.nguThlii me.n ik jhaa.D chhupaa haitil kii oT pahaa.D chhupaa haibachcho.n ne bhii sun rakkhaa hai
guDDuu beTe rote kyuu.n hoqissa sun.ne kii KHvaahish haiachchhaa apne aa.nsuu po.nchholo ham ik qissa kahte hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books