SEARCH RESULTS
Showing search results for "naaqis"
Sher MATCHES FOR "naaqis"
Sher
ik sitam Dhaane me.n fard ek sitam sahne me.n
al-Garaz hai na tumhaaraa na miraa dil naaqis
Nooh Narvi
Sher
har ko.ii apnii fahm-e-naaqis me.n
puKHta saudaa-e-KHaam rakhtaa hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
Dr. Azam
Sher
naaquus se Garaz hai na matlab azaa.n se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostaa.n se hai
Zafar Ali Khan
Sher
hai.n vo suufii jo kabhii naalaa-e-naaquus sunaa
vajd karne lage ham dil kaa ajab haal hu.aa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
bahut Guruur thaa biphre hu.e samundar ko
magar jo dekhaa mire aa.nsu.o.n se kam-tar thaa
Syeda Nafis Bano shama
Sher
KHvaab aur niindo.n kaa KHatm ho gayaa rishta
muddato.n se aa.nkho.n me.n rat-jago.n kaa mausam hai
Syeda Nafis Bano shama
Sher
raat din naaquus kahte hai.n ba-aavaaz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar buto.n me.n tuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
nigaah o dil me.n vahii karbalaa kaa manzar thaa
mai.n tishna-lab thii mire saamne samundar thaa
Syeda Nafis Bano shama
Sher
khi.Dkiyaa.n khol luu.n har shaam yuu.nhii socho.n kii
phir usii raah se yaado.n ko guzartaa dekhuu.n
Syeda Nafis Bano shama
Sher
but-KHaane me.n kyaa yaad-e-ilaahii nahii.n mumkin
naaquus se kyaa kaar-e-azaa.n ho nahii.n saktaa
Muztar Khairabadi
Sher
huu.n vo kaafir ki musalmaano.n ne aksar mujh ko
phuu.nkte kaa'be me.n naaquus-e-kaliisaa dekhaa
Rind Lakhnavi
Sher
nikaal laa.e hai.n sab log us ke aks me.n naqs
ye aa.iina abhii tayyaar hone vaalaa hai
Abid Malik
Sher
amn parchaar talak Thiik sahii lekin amn
tum ko lagtaa hai ki hogaa nahii.n hone vaalaa
Fasihullah Naqeeb
Sher
mehr-o-vafaa KHuluus-e-tamannaa milan kii aas
kuchh kam nahii.n ki ham ne ye motii bachaa liye