SEARCH RESULTS
Showing search results for "nafs"
Sher MATCHES FOR "nafs"
Sher
umr bhar jis ne kisii kaa hukm maanaa hii nahii.n
nafs kaa apne magar vo shaKHs kaarinda rahaa
Zameer Atraulvi
Sher
haath rahte hai.n ka.ii din se garebaa.n ke qariib
bhuul jaa KHud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahii
Natiq Gulavthi
Sher
KHvaahish-e-nafs sadaa maar ke so jaate hai.n
ham vo mazduur jo thak-haar ke so jaate hai.n
Mahwar Sirsivi
Sher
jo mujh aatish-nafas ne mu.nh lagaayaa us ko ai saaqii
abhii hone lage.nge aable mahsuus shiishe me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Hammad Hasan
Sher
mujhe bhii KHvaahish-e-duniyaa halaak kar detii
KHudaa kaa shukr ki mai.n nafs kaa Gulaam na thaa
Faiz Khaleeqi
Sher
haadso.n ke KHauf se ehsaas kii had me.n na thaa
varna nafs-e-mutma.in saffaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
nafs-e-matlab hii miraa faut hu.aa jaataa hai
jaan-e-jaanaa.n ye munaasib nahii.n ghabraa denaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
vo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gayaa hai junuu.n
KHudaa mujhe nafas-e-jabra.iil de to kahuu.n
Allama Iqbal
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
har gha.Dii teraa tasavvur har nafas teraa KHayaal
is tarah to aur bhii terii kamii ba.Dh jaa.egii
Bharat Bhushan Pant
Sher
nafas nafas pe yahaa.n rahmato.n kii baarish hai
hai bad-nasiib jise zindagii na raas aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
ai ham-nafas na puuchh javaanii kaa maajraa
mauj-e-nasiim thii idhar aa.ii udhar ga.ii