SEARCH RESULTS
Showing search results for "nahaa"
Sher MATCHES FOR "nahaa"
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Sher
pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.n
baadal kii tarah jhuum ke ghar aa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
Sher
vo nahaa kar zulf-e-pechaa.n ko jo bikhraane lage
husn ke dariyaa me.n pinhaa.n saa.np lahraane lage
Shad Lakhnavi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nahaa kar bhiige baalo.n ko sukhaatii
chhato.n par la.Dkiyaa.n achchhii lagii hai.n
Mohammad Alvi
Sher
chhaa ga.ii ek musiibat kii ghaTaa chaar taraf
khule baalo.n jo vo dariyaa se nahaa kar nikle
Haqeer
Sher
kisii ke saa.e kisii kii taraf lapakte hu.e
nahaa ke raushniyo.n me.n lage bahakte hu.e
Nomaan Shauque
Sher
teG-e-nafas ko bahut naaz thaa raftaar par
ho ga.ii aaKHir mire KHuu.n me.n nahaa kar KHamosh
Aslam Mahmood
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to jab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
Jaun Eliya
Sher
nayaa ik rishta paidaa kyuu.n kare.n ham
bichha.Dnaa hai to jhag.Daa kyuu.n kare.n ham