SEARCH RESULTS
Showing search results for "nahaa"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "nahaa"
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Ghazal
pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.n
baadal kii tarah jhuum ke ghar aa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
PAGE MATCHES FOR "nahaa"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "nahaa"
Nazm
barsat ki bahaaren
pa.Dte hai.n paanii har jaa jal-thal banaa rahe hai.n
gulzaar bhiigte hai.n sabze nahaa rahe hai.n
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
misaal-e-maahii-e-be-aab mauje.n ta.Dpaa kii.n
habaab phuuT ke ro.e jo tum nahaa ke chale
Meer Anees
Nazm
sone se pahle ek KHayal
mujhe november kii dhuup kii tarah mat chaaho
ki is me.n Duubo to tamaazat me.n nahaa jaa.o
Kishwar Naheed
Ghazal
lutf ye hai ki aadmii aam kare bahaar ko
mauj-e-havaa-e-ra.ng me.n aap nahaa liyaa to kyaa
Obaidullah Aleem
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailaa ho jaa.e
aaj hii ham ne ye kap.De hai.n nahaa ke badle
Fani Badayuni
Ghazal
sukh jaise baadalo.n me.n nahaatii huu.n bijliyaa.n
dukh jaise bijliyo.n me.n ye baadal nahaa liye
Kunwar Bechain
Nazm
taj-mahal
yaa bar-lab-e-jamunaa ko.ii doshiiza nahaa kar
baiThii hai takalluf se adaa.o.n ko churaa kar
Mahshar Badayuni
Sher
pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.n
baadal kii tarah jhuum ke ghar aa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
Mazahiya
bahtii ga.ngaa se hai terii dostii
mai.n to kahtaa huu.n nahaa ke Duub mar
Mohammad Kamal Azhar
Ghazal
nahaa kar bhiige baalo.n ko sukhaatii
chhato.n par la.Dkiyaa.n achchhii lagii hai.n


