SEARCH RESULTS
Showing search results for "normal"
Sher MATCHES FOR "normal"
Sher
rail dekhii hai kabhii siine pe chalne vaalii
yaad to ho.nge tujhe haath hilaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
tum to sardii kii hasii.n dhuup kaa chehra ho jise
dekhte rahte hai.n diivaar se jaate hu.e ham
Nomaan Shauque
Sher
jamhuuriyat ke biich pha.nsii aqaliyat thaa dil
mauqa jise jidhar se milaa vaar kar diyaa
Nomaan Shauque
Sher
ek din dono.n ne apnii haar maanii ek saath
ek din jis se jhaga.Dte the usii ke ho ga.e
Nomaan Shauque
Sher
merii KHushiyo.n se vo rishta hai tumhaaraa ab tak
iid ho jaa.e agar iid-mubaarak kah do
Nomaan Shauque
Sher
Nomaan Shauque
Sher
ishq kyaa hai KHuubsuurat sii ko.ii afvaah bas
vo bhii mere aur tumhaare darmiyaa.n u.Dtii hu.ii
Nomaan Shauque
Sher
ba.De gharo.n me.n rahii hai bahut zamaane tak
KHushii kaa jii nahii.n lagtaa Gariib-KHaane me.n
Nomaan Shauque
Sher
ro ro ke log kahte the jaatii rahegii aa.nkh
aisaa nahii.n hu.aa, mirii biinaa.ii ba.Dh ga.ii
Nomaan Shauque
Sher
kabhii libaas kabhii baal dekhne vaale
tujhe pata hii nahii.n ham sa.nvar chuke dil se
Nomaan Shauque
Sher
is baar intizaam to sardii kaa ho gayaa
kyaa haal pe.D kaTte hii bastii kaa ho gayaa
Nomaan Shauque
Sher
bas tire aane kii ik afvaah kaa aisaa asar
kaise kaise log the biimaar achchhe ho ga.e
Nomaan Shauque
Sher
ham jaiso.n ne jaan ga.nvaa.ii paagal the
duniyaa jaisii kal thii bilkul vaisii hai