SEARCH RESULTS
Showing search results for "nuqta"
Sher MATCHES FOR "nuqta"
Sher
ishq kii har daastaa.n me.n ek hii nukta milaa
ishq kaa maazii hu.aa kartaa hai mustaqbil nahii.n
Unknown
Sher
tujhe na maane ko.ii tujh ko is se kyaa majruuh
chal apnii raah bhaTakne de nukta-chiino.n ko
Majrooh Sultanpuri
Sher
surme kaa til banaa ke ruKH-e-laa-javaab me.n
nuqta ba.Dhaa rahe ho KHudaa kii kitaab me.n
Qamar Jalalvi
Sher
dekh kar shaa.ir ne us ko nukta-e-hikmat kahaa
aur be-soche zamaane ne use ''aurat'' kahaa
Shaad Aarfi
Sher
adaa-e-KHaas se 'Gaalib' hu.aa hai nukta-saraa
salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
lamhe lamhe se banii hai ye zamaane kii kitaab
nuqta nuqta yahaa.n sadiyo.n kaa safar lagtaa hai
Moid Rasheedi
Sher
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaanii hotii hai
Afzal Khan
Sher
haa.n nukta-varo laa.o lab-o-dil kii gavaahii
haa.n naGmagaro saaz-e-sadaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
nukta yahii azal se pa.Dhaayaa gayaa hame.n
havvaa baraa.e-husn hai aadam baraa.e-ishq
Rana Amir Liyaqat
Sher
mai.n nukta-chii.n nahii.n huu.n magar ye bataa.iye
vo kaun the jo ha.ns ke gulo.n ko masal ga.e
Ahmad Riyaz
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
KHudaa kaatib kii saffaakii se bhii mahfuuz farmaa.e
agar nuqta u.Daa de naam-zad naamard ho jaa.e
Raghib Muradabadi
Sher
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
mire nukta-daa.n tiraa fahm apnii misaal hai
mai.n huu.n ek saada savaal ko.ii javaab de