SEARCH RESULTS
Showing search results for "pachhtaave"
Sher MATCHES FOR "pachhtaave"
Sher
zaalim jafaa jo chaahe so kar mujh pe tuu vale
pachhtaave phir tuu aap hii aisaa na kar kahii.n
Khwaja Meer Dard
Sher
shaayad mujhe nikaal ke pachhtaa rahe ho.n aap
mahfil me.n is KHayaal se phir aa gayaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
aap pachhtaa.e.n nahii.n jaur se tauba na kare.n
aap ke sar kii qasam 'daaG' kaa haal achchhaa hai
Dagh Dehlvi
Sher
Adeem Hashmi
Sher
partav-e-KHur se hai shabnam ko fanaa kii ta.aliim
mai.n bhii huu.n ek inaayat kii nazar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa
Aanis Moin
Sher
ham ne to luT ke mohabbat kii rivaayat rakh lii
un se to pochhiye vo kis liye pachhtaate rahe
Mustafa Zaidi
Sher
ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklaa
ho ga.e partav-e-ruKH se dar o diivaar safed
Amanat Lakhnavi
Sher
kitnii be-suud judaa.ii hai ki dukh bhii na milaa
ko.ii dhoka hii vo detaa ki mai.n pachhtaa saktaa
Sabir Zafar
Sher
ham bahut pachhtaa.e aavaazo.n se rishta jo.D kar
shor ik lamhe kaa thaa aur zindagii bhar kaa sukuut
Nomaan Shauque
Sher
aalam hai tire partav-e-ruKH se ye hamaaraa
hairat se hame.n shams-o-qamar dekh rahe hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
Sabir Waseem
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
dil KHush na hu.aa zulf-e-pareshaa.n se nikal kar
pachhtaa.e ham is shaam-e-Gariibaa.n se nikal kar