SEARCH RESULTS
Showing search results for "panja-e-mizha"
Sher MATCHES FOR "panja-e-mizha"
Sher
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
dariyaa me.n vo dhoyaa thaa kabhii dast-e-hinaa.ii
hasrat se vahii.n panja-e-marjaa.n me.n lagii aag
Maatam Fazl Mohammad
Sher
chhalakne lage ashk-e-gulguu.n mizha se
phir aa.ii hai fasl-e-bahaar garebaa.n
Shaikh Qudratullah Qudrat
Sher
chhalak uThaa jo kabhii KHuun-e-aarzuu meraa
mizha mizha tirii ra.anaa.iyo.n kii baat ga.ii
Kausar Jayasi
Sher
aisii mire KHazaana-e-dil me.n bharii hai aag
favvaara chhuuTtaa hai mizha se sharaar kaa
Joshish Azimabadi
Sher
tamaam umr jise aab-e-talKH se sii.nchaa
ab us shajar kaa ko.ii phal kahaa.n se miiThaa ho
Syed Safi Hasan
Sher
apne ustaad ke shero.n kaa tiyaa paa.ncha kiyaa
ai rahiim aap ke fan me.n ye kamaal achchhaa hai
Rauf Raheem
Sher
is khel se kah apnii mizha se ki baaz aa.e
aalam ko neza-baazii se zer-o-zabar kiyaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
hai roz-e-panj-shamba tuu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaa.n kii ruuhe.n na aa.iyaa.n ho.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
in kii mizha hai ka.aba-e-abruu me.n mo.atakif
khii.nchaa kabhii na tiir ne chilla kamaan me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
tar rakhiyo sadaa yaa-rab tuu is mizha-e-tar ko
ham itr lagaate hai.n garmii me.n isii KHas kaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
bismilo.n se bosa-e-lab kaa jo va.ada ho gayaa
KHud-ba-KHud har zaKHm kaa anguur miiThaa ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
mai.n shauq-e-vasl me.n kyaa rail par shitaab aayaa
ki sub.h hind me.n thaa shaam pa.nj-aab aayaa