SEARCH RESULTS
Showing search results for "panja-e-mizha"
Ghazal MATCHES FOR "panja-e-mizha"
Ghazal
paayaa na dil bahaayaa hu.aa sail-e-ashk kaa
mai.n panja-e-mizha se samundar bilo chukaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
naaz o adaa o Gamza nigah panja-e-mizha
maare.n hai.n ek dil ko ye pil pil ke chaar paa.nch
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
asiir-e-panja-e-ahd-e-shabaab kar ke mujhe
kahaa.n gayaa miraa bachpan KHaraab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Ghazal
ho gayaa zauq fazaa-e-KHalish-e-yaad-e-mizha
kaun kahtaa hai ki lazzat tire paikaa.n me.n nahii.n
Salik Dehlvi
Ghazal
sailii-e-panja-e-jallaad-e-sitam se hai hai
nazr-e-be-daad hu.e muntaKHabaan-e-dehlii
Meer Mehdi Majrooh
Ghazal
dast-e-junuu.n-o-panja-e-vahshat chihaar-samt
be-barg-o-baar hone lagii hai bahaar phir
Akram Naqqash
Ghazal
'valii' siine me.n mere panja-e-ishq-e-sitamgar ne
kiyaa hai chaak dil kaa pairahan aahista-aahista
Wali Dakni
Ghazal
KHud ko asiir-e-panja-e-sad-ehtimaam kar
mansuub sarguzasht-e-vafaa un ke naam kar
Basit Ujjaini
Ghazal
hai yaad dil me.n panja-e-ra.ngiin-e-yaar kii
meh.ndii ke chor kaa guzar apne mahal me.n hai
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
panja-e-mizhgaan-e-tar ne ye u.Daa.ii.n dhajjiyaa.n
taar baaqii ek bhii daamaan-e-saahil me.n nahii.n
Muzaffar Ali Aseer
Ghazal
imtihaa.n quvvat kaa hai talvaar uThaa.ii jaatii hai
ab to is qaabil hu.e hai.n panja-o-baazuu-e-dost
Rasheed lakhnavi
Ghazal
bas jigar ko lutf-e-yak-tiir-e-mizha darkaar hai
kaar-e-Gam-KHvaarii nigaah-e-aashnaa ho jaa.egaa
Minhaj Ali
Ghazal
abruu-o-chashm-o-nigaah-o-mizha har ik KHuu.n-KHvaar
ek dil hai miraa tis par hai.n dil-aazaar ka.ii
Meer Mohammadi Bedar
Ghazal
jhalak rahii hai sar-e-shaaKH-e-mizha KHuun kii buu.nd
shajar me.n pahle samar se kalii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Ghazal
taar-e-malbuus-e-KHudii kyuu.n rahe.n baaqii mere
panja-e-dast-e-junuu.n apnaa hai vahshat apnii