SEARCH RESULTS
Showing search results for "parcha"
Sher MATCHES FOR "parcha"
Sher
ashko.n ke nishaa.n parcha-e-saada pe hai.n qaasid
ab kuchh na bayaa.n kar ye ibaarat hii bahut hai
Ehsan Ali Khan
Sher
kuchh ishq ke nisaab me.n kamzor ham bhii hai.n
kuchh parcha-e-savaal bhii aasaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Sher
Shah Naseer
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
Meeraji
Sher
bas jaan gayaa mai.n tirii pahchaan yahii hai
tuu dil me.n to aataa hai samajh me.n nahii.n aataa
Akbar Allahabadi
Sher
muskuraate hu.e miltaa huu.n kisii se jo 'zafar'
saaf pahchaan liyaa jaaataa huu.n royaa hu.aa mai.n
Zafar Iqbal
Sher
kaash dekho kabhii TuuTe hu.e aa.iino.n ko
dil shikasta ho to phir apnaa paraayaa kyaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
tum ye kahte ho ki mai.n Gair huu.n phir bhii shaayad
nikal aa.e ko.ii pahchaan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
Sher
shaayad mujhe nikaal ke pachhtaa rahe ho.n aap
mahfil me.n is KHayaal se phir aa gayaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
Rahat Indori
Sher
Danish Amiri
Sher
badan ke karb ko vo bhii samajh na paa.egaa
mai.n dil me.n ro.uu.ngii aa.nkho.n me.n muskuraa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
ye shahr hai anjaan kahaa.n raat guzaaruu.n
hai jaan-na-pahchaan kahaa.n raat guzaaruu.n
Ishrat Kiratpuri
Sher
sab ho.nge us se apne ta.aaruf kii fikr me.n
mujh ko mire sukuut se pahchaan jaa.egaa