SEARCH RESULTS
Showing search results for "parsaa"
Sher MATCHES FOR "parsaa"
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
ko.ii hai mast ko.ii tishna-kaam hai saaqii
ye mai-kade kaa tire kyaa nizaam hai saaqii
Parsa Kausari
Sher
Manzar Bhopali
Sher
mujhe gunaah me.n apnaa suraaG miltaa hai
vagarna paarsaa-o-diin-daar mai.n bhii thaa
Saqi Faruqi
Sher
ho ga.e naam-e-butaa.n sunte hii 'momin' be-qaraar
ham na kahte the ki hazrat paarsaa kahne ko hai.n
Momin Khan Momin
Sher
jo paarsaa ho to kyuu.n imtihaa.n se Darte ho
ham e'tibaar kaa miizaan le ke aa.e hai.n
Manzar Bhopali
Sher
huu.n paarsaa tire pahluu me.n shab guzaar ke bhii
mai.n be-libaas nahii.n pairahan utaar ke bhii
Saleem Siddiqui
Sher
ahl-e-haram se kah do ki big.Dii nahii.n hai baat
sab ri.nd jaante hai.n abhii paarsaa mujhe
Riyaz Khairabadi
Sher
kisii ke kam hai.n kisii ke bahut magar zaahid
gunaah karne ko kyaa paarsaa nahii.n karte
Muztar Khairabadi
Sher
kyuu.n mai ke piine se karuu.n inkaar naasehaa
zaahid nahii.n valii nahii.n kuchh paarsaa nahii.n
Shah Naseer
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
jabiin-e-paarsaa ko dekh kar iimaa.n laraztaa hai
ma.aaz-allaah ki kyaa anjaam hai is paarsaa.ii kaa
Qalaq Merathi
Sher
apne daaman kii kuchh KHabar hai 'majiid'
soch kar KHud ko paarsaa kahiye
Abdul Majeed Khan Majeed
Sher
vo mai-kade me.n halaavat hai ri.nd-e-mai-kash ko
jo KHaanqaah me.n hai paarsaa ko aish-o-tarab