SEARCH RESULTS
Showing search results for "past"
Sher MATCHES FOR "past"
Sher
abhii se shikva-e-past-o-buland ham-safro
abhii to raah bahut saaf hai abhii kyaa hai
Rais Amrohvi
Sher
kaun suntaa hai yahaa.n past-sadaa.ii itnii
tum agar chiiKH ke bolo to asar bhii hogaa
Javed Nadeem
Sher
ishq kii raah me.n mai.n mast kii tarah
kuchh nahii.n dekhtaa buland aur past
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
KHaak uchhaalo jo zamii.n par to falak par gir jaa.e
ab khulaa ye ki bahut past hai himmat merii
Sohail Azeemabadi
Sher
ajab kyaa hai ham aise garm-raftaaro.n kii Thokar se
zamaane ke buland-o-past kaa hamvaar ho jaanaa
Yagana Changezi
Sher
bas ki hai pesh-e-nazar past-o-buland-e-aalam
Thokare.n khaa ke mirii aa.nkho.n me.n KHvaab aataa hai
Muneer Shikohabadi
Sher
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
vo mujh ko chho.D ke jis aadmii ke paas gayaa
baraabarii kaa bhii hotaa to sabr aa jaataa
Parveen Shakir
Sher
ghar se nikal kar jaataa huu.n mai.n roz kahaa.n
ik din apnaa piichhaa kar ke dekhaa jaa.e
Bharat Bhushan Pant
Sher
ek mahfil me.n ka.ii mahfile.n hotii hai.n shariik
jis ko bhii paas se dekhoge akelaa hogaa
Nida Fazli
Sher
phir kho na jaa.e.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n
miltii hai paas aane kii mohlat kabhii kabhii
Sahir Ludhianvi
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa
Ada Jafarey
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
takliif miT ga.ii magar ehsaas rah gayaa
KHush huu.n ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle