SEARCH RESULTS
Showing search results for "pastii-e-zamii.n"
Sher MATCHES FOR "pastii-e-zamii.n"
Sher
vahii pastii o bulandii hai zamii.n kii aatish
vahii gardish me.n shab o roz hai.n aflaak hanuuz
Haidar Ali Aatish
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ham to us pastii-e-ehsaas pe jiite hai.n jahaa.n
ye bhii ma.aluum nahii.n jiit hai kyaa maat hai kyaa
Asghar Abid
Sher
makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipehr-o-zamii.n
dikhaa.ii detaa hai sab kuchh yahaa.n KHudaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
Raja Mehdi Ali Khan
Sher
pesh-e-zamii.n rahuu.n ki pas-e-aasmaa.n rahuu.n
rahtaa huu.n apne saath mai.n chaahe jahaa.n rahuu.n
Meer Ahmad Naved
Sher
pe.D uu.nchaa hai magar zer-e-zamii.n kitnaa hai
lab pe hai naam-e-KHudaa dil me.n yaqii.n kitnaa hai
Suhail Ahmed Zaidi
Sher
haDDiyaa.n merii agar paa.e.n to kuu.De kii tarah
phe.nk de.n ahl-e-zamii.n charKH-e-kuhan se baahar
Imdad Ali Bahr
Sher
Khursheed Rizvi
Sher
aa.egii ham ko raas na yak-ra.ngi-e-KHalaa
ahl-e-zamii.n hai.n ham hame.n din raat chaahiye
Anjum Rumani
Sher
pastii ne bulandii ko banaayaa hai haqiiqat
ye rif.at-e-aflaak bhii muhtaaj-e-zamii.n hai
Saba Akbarabadi
Sher
aaKHir ik roz to paivand-e-zamii.n honaa hai
jaama-e-ziist nayaa aur puraanaa kaisaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
KHud ko mai.n bhalaa zer-e-zamii.n kaise dabaataa
jitne bhii kha.nDar nikle vo aabaad se nikle