SEARCH RESULTS
Showing search results for "peshgii"
Sher MATCHES FOR "peshgii"
Sher
ye ishq peshgii daar-o-rasan ke ha.ngaame
ye rang zinda salaamat hai ya.anii ham abhii hai.n
Ahmad Ata
Sher
us ne jaltii hu.ii peshaanii pe jab haath rakhaa
ruuh tak aa ga.ii taasiir masiihaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
Rahat Indori
Sher
justujuu karnii har ik amr me.n naadaanii hai
jo ki peshaanii pe likkhii hai vo pesh aanii hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ek mai.n huu.n aur dastak kitne darvaazo.n pe duu.n
kitnii dahliizo.n pe sajda ek peshaanii kare
Mahtab Haider Naqvi
Sher
Jameel Mazhari
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Behzad Lakhnavi
Sher
Akhilesh Tiwari
Sher
sharm aa.ii hai mujhe apne qad-o-qaamat par
maa.n ke jab ho.nTh na paho.nche mirii peshaanii tak
Ghulam Husain Sajid
Sher
faisla the vaqt kaa phir be-asar kaise hu.e
sach kii peshaanii pe ham jhuuTii KHabar kaise hu.e
Musavvir Sabzwari
Sher
Zia Zameer
Sher
KHatt-e-peshaanii me.n saffaak azal ke din se
terii talvaar se likkhii hai shahaadat merii
Shabab
Sher
kufr se ye jo munavvar mirii peshaanii hai
zaahir is se bhii miraa jazba-e-iimaanii hai
Zafar Iqbal
Sher
sajde kartaa jaa rahaa huu.n kuu-e-jaanaa.n kii taraf
raasta batlaa rahii hai merii peshaanii mujhe
Manzar Lakhnavi
Sher
jo ki peshaanii pe likkhaa hai vahii hotaa hai
nahii.n hotii.n kabhii ik shaKHs kii taqdiire.n do