SEARCH RESULTS
Showing search results for "poshaak"
Sher MATCHES FOR "poshaak"
Sher
merii poshaak to pahchaan nahii.n hai merii
dil me.n bhii jhaa.nk mirii zaahirii haalat pe na jaa
Aitbar Sajid
Sher
is na.e saal ke svaagat ke liye pahle se
ham ne poshaak udaasii kii silaa ke rakh lii
Sidra Sahar Imran
Sher
itr miTTii kaa lagaayaa chaahiye poshaak me.n
KHaak se raGbat rahe milnaa hai ik din KHaak me.n
Unknown
Sher
Anand Narayan Mulla
Sher
uryaa.n haraarat-e-tap-e-furqat se mai.n rahaa
har baar mere jism kii poshaak jal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
ra.ng-o-KHushbuu kaa kahii.n ko.ii kare zikr to baat
ghuum phir kar tirii poshaak pe aa jaatii hai
Fartash Syed
Sher
kyaa us se mulaaqaat kaa imkaa.n bhii nahii.n ab
kyuu.n in dino.n mailii tirii poshaak bahut hai
Jamal Ehsani
Sher
shaam ke tan par sajii jo surma.ii poshaak hai
ham charaaGo.n kii faqat ye raushnii poshaak hai
A.R Sahil 'Aleeg'
Sher
A.R Sahil 'Aleeg'
Sher
badan kii khaal ko kap.Do.n se Dhaa.np kar rakhiye
hame.n to qiimtii poshaak ko bachaanaa hai
Dr. Yasin Aatir
Sher
ham to us ke zehn kii uryaaniyo.n par mar miTe
daad agarche de rahe hai.n jism aur poshaak par
Navin C. Chaturvedi
Sher
vo bhii milne na.ii poshaak badal kar aayaa
mai.n jo kal pairahan-e-KHaak badal kar aayaa
Jamal Ehsani
Sher
loTte rahte hai.n mujh par chaahne vaalo.n ke dil
varna yuu.n poshaak terii malgajii hotii nahii.n
Nazm Tabatabai
Sher
sajda hu.aa hamesha faqiiro.n ke ilm par
ham aagahii pe marte hai.n poshaak par nahii.n
Pranav Mishra Tejas
Sher
sad-chaak kiyaa pairhan-e-gul ko sabaa ne
jab vo na tirii KHuubii-e-poshaak ko pahu.nchaa
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Ameeq Hanafi
Sher
apne haalaat se mai.n sulh to kar luu.n lekin
mujh me.n ruu-posh jo ik shaKHs hai mar jaa.egaa
Rais Farogh
Sher
fareb khaane ko pesha banaa liyaa ham ne
jab ek baar vafaa kaa fareb khaa baiThe