SEARCH RESULTS
Showing search results for "poshaak"
Ghazal MATCHES FOR "poshaak"
Ghazal
bazm-e-anjum me.n qabaa KHaak kii pahnii mai.n ne
aur mirii saarii faziilat isii poshaak se hai
Parveen Shakir
Ghazal
apnii poshaak se hushyaar ki KHuddaam-e-qadiim
dhajjiyaa.n maa.ngte hai.n apne garebaano.n kii
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
amiir-e-shahr tirii tarah qiimtii poshaak
mirii galii me.n bhikaarii pahan ke aate hai.n
Rahat Indori
Ghazal
apnii poshaak ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salaamat nahii.n rahte yahaa.n dastaar ke biich
Mohsin Naqvi
Ghazal
rakkhuu.n mai.n kaise aaKHir zaKHmo.n pe apne marham
har Gam mire badan kii poshaak ho gayaa hai
Fauzia Mughal
Ghazal
aag jab aag se miltii hai to lau detii hai
KHaak ko KHaak kii poshaak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
faaqo.n se tang aa.e to poshaak bech dii
uryaa.n hu.e to shab kaa a.ndheraa pahan liyaa
Bedil Haidri
Ghazal
har ko.ii turra-e-pechaak pahan kar niklaa
ek mai.n pairahan-e-KHaak pahan kar niklaa
Ahmad Faraz
Ghazal
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
lau detii hai tasviir nihaa.n-KHaana-e-dil me.n
laazim nahii.n is phuul kaa poshaak pe honaa
Sarvat Husain
Ghazal
badalte rahte hai.n poshaak dushman-e-jaanii
magar jo dost hai.n paikar badalte rahte hai.n
Bekal Utsahi
Ghazal
mujh ko maa.ngii hu.ii 'izzat nahii.n puurii aatii
TuuT jaa.uu.n na ye poshaak badaltaa hu.aa mai.n
Shahid Zaki
Ghazal
Muztar Khairabadi
Ghazal
tum mujhe bhii kaa.nch kii poshaak pahnaane lage
mai.n jise dekhuu.n vahii patthar nazar aane lage
Iqbal Sajid
Ghazal
KHush aayaa ajab ishq ko ye jaama-e-zebaa
niklaa nahii.n phir hijr kii poshaak se baahar
Ejaz Gul
Ghazal
merii poshaak to pahchaan nahii.n hai merii
dil me.n bhii jhaa.nk mirii zaahirii haalat pe na jaa
Aitbar Sajid
Ghazal
kyaa us se mulaaqaat kaa imkaa.n bhii nahii.n ab
kyuu.n in dino.n mailii tirii poshaak bahut hai
Jamal Ehsani
Ghazal
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
uryaa.n haraarat-e-tap-e-furqat se mai.n rahaa
har baar mere jism kii poshaak jal ga.ii
Mirza Raza Barq
Ghazal
shaam ke tan par sajii jo surma.ii poshaak hai
ham charaaGo.n kii faqat ye raushnii poshaak hai