SEARCH RESULTS
Showing search results for "purza"
Sher MATCHES FOR "purza"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
yuu.n bhii hazaaro.n laakho.n me.n tum intiKHaab ho
puuraa karo savaal to phir laa-javaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
thii KHabar garm ki 'Gaalib' ke u.De.nge purze
dekhne ham bhii ga.e the pa tamaashaa na hu.aa
Mirza Ghalib
Sher
ik aur tiir chalaa apnaa ahd puuraa kar
abhii parinde me.n tho.Dii sii jaan baaqii hai
Naz Qadri
Sher
kis kii hai ye tasviir jo bantii nahii.n mujh se
mai.n kis kaa taqaazaa huu.n ki puuraa nahii.n hotaa
Farhat Ehsas
Sher
mai.n duniyaa ke me.aar pe puuraa nahii.n utraa
duniyaa mire me.aar pe puurii nahii.n utrii
Munawwar Rana
Sher
Zehra Nigaah
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
mujhe tauba kaa puuraa ajr miltaa hai usii saa.at
ko.ii zohra-jabii.n piine pe jab majbuur kartaa hai
Abdul Hamid Adam
Sher
na pa.Dhaa yaar ne ahvaal-e-shikasta meraa
KHat ke purze kiye baazuu-e-kabuutar to.Daa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kyaa lutf-e-dostii ki nahii.n lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye puuraa kahaa.n hai ab
Dagh Dehlvi
Sher
mujhe kal ke vaade pe karte hai.n ruKHsat
ko.ii vaada puuraa hu.aa chaahtaa hai
Altaf Hussain Hali
Sher
dekhnaa chho.De nahii.n KHvaab mirii aa.nkho.n ne
puuraa har-chand ko.ii KHvaab nahii.n ho paayaa