SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaafila"
Sher MATCHES FOR "qaafila"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
hujuum aisaa ki raahe.n nazar nahii.n aatii.n
nasiib aisaa ki ab tak to qaafila na hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
raah-e-dil ko rau.nd kar aage nikal jaa.e.nge log
aa.nkh me.n uThtaa Gubaar-e-qaafila rah jaa.egaa
imtiyaz Khan
Sher
bahaa hai phuuT ke aa.nkho.n se aabla dil kaa
tarii kii raah se jaataa hai qaafila dil kaa
Dulhan Begum
Sher
safar ho shaah kaa yaa qaafila faqiiro.n kaa
shajar mizaaj samajhte hai.n raahgiiro.n kaa
Atul Ajnabi
Sher
us ek chehre ke piichhe hazaar chehre hai.n
hazaar chehro.n kaa vo qaafila saa lagtaa hai
Shabab Merthi
Sher
baadbaa.n naaz se lahraa ke chalii baad-e-muraad
kaarvaa.n eid manaa qaafila-saalaar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii