SEARCH RESULTS
Showing search results for "qalb-e-hai.at-e-qalbii"
Sher MATCHES FOR "qalb-e-hai.at-e-qalbii"
Sher
raaste aur tavaazo.a me.n hai rabt-e-qalbii
jis tarah laam alif me.n hai alif laam me.n hai
Ameer Minai
Sher
ishq me.n maarka-e-qalb-o-nazar kyaa kahiye
choT lagtii hai kahii.n dard kahii.n hotaa hai
Hafeez Banarasi
Sher
ta.ngii-e-hai.at se Takraataa hu.aa josh-e-mavaad
shaa.erii kaa lutf aa jaataa hai chhoTii bahr me.n
Shuja Khaavar
Sher
vahii shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsuus hotii hai
kamii jis kii baraabar umr bhar mahsuus hotii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
rah-e-vafaa me.n luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai terii mohabbat kaa haq adaa mai.n ne
Akhtar Muslimi
Sher
qalb-o-jigar ke daaG farozaa.n kiye hu.e
hai.n ham bhii ehtimaam-e-bahaaraa.n kiye hu.e
Razi Raziuddin
Sher
ba.Dh ga.e hai.n is qadar qalb o nazar ke faasle
saath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahii.n
Zaheer Kashmiri
Sher
jo zalzale mire qalb-o-jigar me.n uThte hai.n
agar zamiin me.n uThte daraaz kar dete
Haleem Sabir
Sher
ik baat par qaraar unhe.n raat-bhar nahii.n
do do pahar jo haa.n hai to do do pahar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
sabz kap.Do.n me.n siyah-zulf kii zebaa.ii hai
dhaan ke khet me.n kyaa kaalii ghaTaa chhaa.ii hai
Kalb-e-husain Nadir
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
chaltii to hai par shoKHii-e-raftaar kahaa.n hai
talvaar me.n paazeb kii jhankaar kahaa.n hai
Kalb-e-husain Nadir
Sher
hai.n diin ke paaband na duniyaa ke muqayyad
kyaa ishq ne is bhuul-bhulayyaa.n se nikaalaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
na merii aa.nkh na qalb-o-jigar me.n rahtaa hai
vo dard ban ke mire aadhe sar me.n rahtaa hai
Imam Deen Gujrati
Sher
Krishna Mohan
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
agar un ko puujaa to kyaa kufr hogaa
ki but bhii KHudaa ke banaa.e hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n