SEARCH RESULTS
Showing search results for "qibla"
Sher MATCHES FOR "qibla"
Sher
hai par-e-sarhad-e-idraak se apnaa masjuud
qible ko ahl-e-nazar qibla-numaa kahte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
Nushur Wahidi
Sher
sar paa-e-KHum pe chaahiye ha.ngaam-e-be-KHudii
ruu suu-e-qibla vaqt-e-munaajaat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
ye mashvara baham uTThe hai.n chaara-juu karte
ki ab mariiz ko achchhaa thaa qibla-ruu karte
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
kartaa huu.n tavaaf apnaa to miltii hai na.ii raah
qibla bhii hai ye zaat miraa qibla-numaa bhii
Ameeq Hanafi
Sher
masjid me.n tujh bha.nvo.n kii ai qibla-e-dil-o-jaa.n
palke.n hai.n muqtadii aur putlii imaam goyaa
Siraj Aurangabadi
Sher
qibla-o-ka.aba ye to piine pilaane ke hai.n din
aap kyaa halq ke darbaan bane baiThe hai.n
Mubarak Azimabadi
Sher
namaaziyo.n ne tujh abruu ko dekh masjid me.n
ba-samt-e-qibla sujuud-o-qayaam bhuul ga.e
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
qibla ban jaa.e jahaa.n tuu ko.ii patthar rakh de
dast-e-islaam vahii.n diin kaa mimbar rakh de
Muztar Khairabadi
Sher
phir ke nigaah chaar-suu Thahrii usii ke ruu-ba-ruu
us ne to merii chashm ko qibla-numaa banaa diyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
fariyaad ai tasavvur-e-abruu-e-dil-fareb
qible kii samt bhuul gayaa huu.n namaaz me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
ai sabaa qil.a-e-hastii se jo dam ghabraayaa
ba.Dh ke do-chaar qadam maut kaa aagaa baa.ndhaa