SEARCH RESULTS
Showing search results for "qissa-e-zulf-e-yaar"
Sher MATCHES FOR "qissa-e-zulf-e-yaar"
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
saudaa-e-zulf-e-yaar me.n hai talKH zindagii
ye zahr ham ne mol liyaa saa.np paal ke
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ai zulf-e-yaar tujh se bhii aashufta-tar huu.n mai.n
mujh saa na ko.ii hogaa pareshaan-e-rozgaar
Joshish Azimabadi
Sher
tarraar zulf-e-yaar agar charKH par cha.Dhe
sonaa utaar le varaq-e-aaftaab se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chhalke hu.e the jaam pareshaa.n thii zulf-e-yaar
kuchh aise haadsaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
hai dil me.n zulf-e-yaar ke aalam ko dekhiye
pha.nste hai.n aap daam me.n ham ham ko dekhiye
Maroof Dehlvi
Sher
Jalal Lakhnavi
Sher
ye zulf-e-yaar bhii kyaa bijliyo.n kaa jhurmuT hai
KHudaayaa KHair ho ab mere aashiyaane kii
Razi Raziuddin
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
dil ko ai ishq suu-e-zulf-e-siyah-faam na bhej
rahzano.n me.n tuu musaafir ko sar-e-shaam na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
hosh u.D jaa.e.nge ai zulf-e-pareshaa.n tere
gar mai.n ahvaal likhaa apnii pareshaanii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHayaal-e-zulf-e-dotaa me.n 'nasiir' piiTaa kar
gayaa hai saa.np nikal tuu lakiir piiTaa kar
Shah Naseer
Sher
phir aa.ii zulf-e-musalsal kii lahr pesh-e-nazar
phir ik junuu.n ke na.e silsile hu.e dil me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
rotaa huu.n mai.n tasavvur-e-zulf-e-siyaah me.n
paanii baras rahaa hai jame hai.n ghaTaa ke ra.ng