SEARCH RESULTS
Showing search results for "rah-e-butaa.n"
Sher MATCHES FOR "rah-e-butaa.n"
Sher
A. D. Azhar
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Jameel Mazhari
Sher
hai mubtalaa-e-ishq-e-butaa.n meraa doctor
jo mujh me.n virus hai vahii chaara-gar me.n hai
Sarfaraz Shahid
Sher
aage ba.Dhe na qissa-e-ishq-e-butaa.n se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raaz-daa.n se ham
Altaf Hussain Hali
Sher
KHayaal-e-naaf-e-butaa.n se ho kyuu.n ki dil jaa.n-bar
nikalte ko.ii bha.nvar se na Duubtaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ab ke bahaar-e-husn-e-butaa.n hai kamaal par
naaquus ho na jaa.e kaf-e-barhaman me.n phuul
Muneer Shikohabadi
Sher
KHaak aab-e-girya se aatish bujhe naa-chaar ham
jaanib-e-kuu-e-butaa.n juu.n baad-e-sarsar jaa.e.nge
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
hai in dino.n me.n gardish-e-chashm-e-butaa.n kaa daur
teraa zamaana gardish-e-dauraa.n nikal gayaa
Qurban Ali Salik Beg
Sher
Shah Naseer
Sher
Waliullah Muhib
Sher
'taahir' KHudaa kii raah me.n dushvaariyaa.n sahii
ishq-e-butaa.n me.n kaun sii aasaaniyaa.n rahii.n
Jafar Tahir
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
chand tasviir-e-butaa.n chand hasiino.n ke KHutuut
ba.ad marne ke mire ghar se ye saamaa.n niklaa
Bazm Akbarabadi
Sher
ishq-e-butaa.n kaa le ke sahaaraa kabhii kabhii
apne KHudaa ko ham ne pukaaraa kabhii kabhii
Arsh Malsiyani
Sher
islaam se bargashta na hote ba-KHudaa ham
gar ishq-e-butaa.n tab.a ke marGuub na hotaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
itne mahkuum-e-butaa.n hai.n jo ye kaafir chaahe.n
pahne.n zunnaar abhii chho.D de.n islaam ko ham