SEARCH RESULTS
Showing search results for "rakhne"
Sher MATCHES FOR "rakhne"
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
tumhaare KHat me.n nazar aa.ii itnii KHaamoshii
ki mujh ko rakhne pa.De apne kaan kaaGaz par
Yasir Khan Inam
Sher
Vikram Gaur Vairagi
Sher
dost dil rakhne ko karte hai.n bahaane kyaa kyaa
roz jhuuTii KHabar-e-vasl sunaa jaate hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
vaqt kii qabr me.n ulfat kaa bharam rakhne ko
apnii hii laash utaarii hai tumhe.n kyaa ma.aluum
Ahmad Rahi
Sher
dil aur duniyaa dono.n ko KHush rakhne me.n
apne-aap se duurii to ho jaatii hai
Aftab Iqbal Shamim
Sher
jis ko bachaa.e rakhne me.n ajdaad bik ga.e
ham ne usii havelii ko niilaam kar diyaa
Mansoor Usmani
Sher
bhar laa.e hai.n ham aa.nkh me.n rakhne ko muqaabil
ik KHvaab-e-tamannaa tirii Gaflat ke baraabar
Abrar Ahmad
Sher
sukuun-e-dil na mayassar hu.aa zamaane me.n
na yaad rakhne me.n tum ko na bhuul jaane me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
yaad rakhne kii ye baate.n hai.n bajaa hai sach hai
aap bhuule na hame.n aap ko ham bhuul ga.e
Hatim Ali Mehr
Sher
apne aa.nchal me.n chhupaa kar mire aa.nsuu le jaa
yaad rakhne ko mulaaqaat ke jugnuu le jaa
Azhar Inayati
Sher
Saima Esma
Sher
ek halkii sii bhii aahaT ho to Dar jaataa hai
sher kii khaal ko dahliiz pe rakhne vaalaa
Dr. Yasin Aatir
Sher
Rana Amir Liyaqat
Sher
Waliullah Muhib
Sher
rakh liye rauzan-e-zindaa.n pe parinde saare
jo na vaa.n rakhne the diivaan me.n rakh chho.De hai.n