SEARCH RESULTS
Showing search results for "raqam"
Sher MATCHES FOR "raqam"
Sher
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe.nge
jo dil pe guzartii hai raqam karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mai.n aa rahaa huu.n abhii chuum kar badan us kaa
sunaa thaa aag pe bosa raqam nahii.n hotaa
Shanawar Ishaq
Sher
abhii sahiifa-e-jaa.n par raqam bhii kyaa hogaa
abhii to yaad bhii be-saaKHta nahii.n aa.ii
Ada Jafarey
Sher
har ek ranj usii baab me.n kiyaa hai raqam
zaraa saa Gam thaa jise be-panaah mai.n ne kiyaa
Irfan Sattar
Sher
raqam karuu.n bhii to kaise mai.n daastaan-e-vafaa
huruuf phirte hai.n begaane mere kaaGaz se
Arshad Jamal Sarim
Sher
ham pe jo guzrii hai bas us ko raqam karte hai.n
aap-biitii kaho yaa marsiya-KHvaanii kah lo
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
us kii aa.nkho.n ke agar vasf raqam kiijiyegaa
shaaKH-e-nargis ko qalam kar ke qalam kiijiyegaa
Ishq Aurangabadi
Sher
mazmuun-e-sard-mehrii-e-jaanaa.n raqam karuu.n
gar haath aa.e kaaGaz-e-kashmiir kaa varaq
Nazeer Akbarabadi
Sher
mudda.aa ham apnaa kaaGaz par raqam kar jaa.e.nge
vaqt ke haatho.n me.n apnaa faislaa rah jaa.egaa
Hayat Lakhnavi
Sher
Aslam Mahmood
Sher
chaahuu.n ki haal-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karuu.n
bhaage.n huruuf vaqt-e-nigaarish qalam se duur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
jaane kyaa suurat-e-haalaat raqam thii us me.n
jo varaq chaak hu.aa us ko dobaaraa dekhe.n
Abul Hasanat Haqqi
Sher
harfo.n ke mile jo.D ba.Dhaa husn raqam kaa
har lafz ke paivand me.n baKHiya hai qalam kaa
Naseem Dehlvi
Sher
kab vo paiGaam-rasaa ho ki mujhe sabr nahii.n
kaakul-e-KHam ke liye she'r raqam kartaa huu.n
Osaama ameer
Sher
gaahak se mai.n ye bolaa raqam khe.nch liijiyo
'taimuur-la.ng' keh ke ise bech liijiyo
Saghar Khayyami
Sher
zo'm-e-tuqaa hijaab-e-tazaahur nifaaq kaa
har jaa raqam hai is me.n bhii izn o qum-e-daroG