SEARCH RESULTS
Showing search results for "reza"
Sher MATCHES FOR "reza"
Sher
jis tarah KHvaab mire ho ga.e reza reza
us tarah se na kabhii TuuT ke bikhre ko.ii
Parveen Shakir
Sher
reza reza kar diyaa jis ne mire ehsaas ko
kis qadar hairaan hai vo mujh ko yakjaa dekh kar
Khushbir Singh Shaad
Sher
tamaam shahr kii aa.nkho.n me.n reza reza huu.n
kisii bhii aa.nkh se uThtaa nahii.n mukammal mai.n
Farhat Ehsas
Sher
jo reza reza nahii.n dil use nahii.n kahte
kahe.n na aa.iina us ko jo paara-paara nahii.n
Ahmad Zafar
Sher
zindagii ko hausla dene ke KHaatir
KHvaahisho.n ko reza reza chun rahaa huu.n
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
puraane KHvaabo.n se reza reza badan hu.aa hai
ye chaahtaa huu.n ki ab nayaa ko.ii KHvaab dekhuu.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Sarwat Zehra
Sher
vo qayaamat thii ki reza reza ho ke u.D gayaa
ai zamii.n varna kabhii ik aasmaa.n meraa bhii thaa
Abdullah Kamal
Sher
lamhe lamhe me.n hu.aa jaataa huu.n reza reza
vaj.h kuchh mujh se na puuchho mire rab se puuchho
Anjum Irfani
Sher
reza reza apnaa paikar ik na.ii tartiib me.n
canvas par dekh kar hairaan ho jaanaa pa.Daa
Zaheer Ghazipuri
Sher
Ashhar Hashmi
Sher
reza reza raat bhar jo KHauf se hotaa rahaa
din ko saa.nso.n par abhii tak bojh us patthar kaa hai
Hakeem Manzoor
Sher
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
Allama Iqbal
Sher
ai sanam vasl kii tadbiiro.n se kyaa hotaa hai
vahii hotaa hai jo manzuur-e-KHudaa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shoKHii
simaT ke aa ga.e sab aap kii adaa.o.n me.n
Kalidas Gupta Raza
Sher
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahii hunar hai ki ko.ii hunar nahii.n aataa