SEARCH RESULTS
Showing search results for "roz-e-vasl"
Sher MATCHES FOR "roz-e-vasl"
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
kuchh to kamii ho roz-e-jazaa ke azaab me.n
ab se piyaa kare.nge milaa kar gulaab me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kahnaa kisii kaa sub.h-e-shab-e-vasl naaz se
hasrat tumhaarii jaan hamaarii nikal ga.ii
Dagh Dehlvi
Sher
ajab thaa nashsha-e-vaaraftagii-e-vasl use
vo taaza-dam rahaa mujh ko niDhaal kar ke bhii
Arif Imam
Sher
qahr hai zahr hai aGyaar ko laanaa shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanaa shab-e-vasl
Zaheer Dehlvi
Sher
mai.n ajab ye rasm dekhii mujhe roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare aur vahii le savaab ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
roz-o-shab-e-hayaat ke KHaano.n me.n baa.nT kar
qisto.n me.n KHud-kushii ke vasaa.il hu.e hai.n log
Mahboob Anwar
Sher
Anees Ansari
Sher
Azra Naqvi
Sher
dii shab-e-vasl mo.azzin ne azaa.n pichhlii raat
haa.e kam-baKHt ko kis vaqt KHudaa yaad aayaa
Dagh Dehlvi
Sher
roz-e-visaal jis ko kahtii hai KHalq vo hii
maz.hab me.n aashiqo.n ke roz-e-vafaat bhii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai roz-e-panj-shamba tuu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaa.n kii ruuhe.n na aa.iyaa.n ho.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye ajiib maajraa hai ki ba-roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare hai vahii le savaab ulTaa