SEARCH RESULTS
Showing search results for "rukh-e-darpan"
Sher MATCHES FOR "rukh-e-darpan"
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tab jaanuu.n mai.n ki diin-e-mohammad ke hai.n hariif
jab roz-e-hashr ho ruKH-e-ahl-e-fara.ng surKH
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
paabandii-e-ahkaam-e-sharii.at hai vahaa.n farz
rindo.n ko ruKH-e-saaqii-o-saaGar hu.e maKHsuus
Sahir Dehlavi
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
surme kaa til banaa ke ruKH-e-laa-javaab me.n
nuqta ba.Dhaa rahe ho KHudaa kii kitaab me.n
Qamar Jalalvi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
subuu me.n aks-e-ruKH-e-maahtaab dekhte hai.n
sharaab piite nahii.n ham sharaab dekhte hai.n
Arif Imam
Sher
dekhuu.n to jurm aur na dekhuu.n to kufr hai
ab kyaa kahuu.n jamaal-e-ruKH-e-fitnagar ko mai.n
Panna Lal Noor
Sher
mujh ko KHabar rahii na ruKH-e-be-naqaab kii
hai KHud numuud husn me.n shaan-e-hijaab kii
Asghar Gondvi
Sher
ghar hamesha tire aa.iine kaa aabaad rahe
jis me.n jaltaa hai charaag-e-ruKH-e-raushan teraa
Jaleel Manikpuri
Sher
mere ash.aar se mazmuun-e-ruKH-e-yaar khulaa
be-ahaadiis nahii.n matlab-e-qur.aan niklaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ai KHaal-e-ruKH-e-yaar tujhe Thiik banaataa
jaa chho.D diyaa haafiz-e-qur.aan samajh kar
Shah Naseer
Sher
merii aa.nkho.n se mire yaar kaa jalva dekho
chashm-e-majnuu.n se bahaar-e-ruKH-e-lailaa dekho
Jaleel Manikpuri
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii