SEARCH RESULTS
Showing search results for "rule"
Sher MATCHES FOR "rule"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
Gam-e-jahaa.n ho ruKH-e-yaar ho ki dast-e-aduu
suluuk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
tuu ruke yaa na ruke faisla tujh par chho.Daa
dil ne dar khol diye hai.n tirii aasaanii ko
Saadullah Shah
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
Saba Afghani
Sher
Hasrat Mohani
Sher
charaaG ban ke jalii thii mai.n jis kii mahfil me.n
use rulaa to gayaa kam se kam dhu.aa.n meraa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
ruke to gardishe.n us kaa tavaaf kartii hai.n
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
dekhuu.n to jurm aur na dekhuu.n to kufr hai
ab kyaa kahuu.n jamaal-e-ruKH-e-fitnagar ko mai.n
Panna Lal Noor
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai