SEARCH RESULTS
Showing search results for "saadiq"
Sher MATCHES FOR "saadiq"
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
Shad Azimabadi
Sher
talab-e-aashiq-e-saadiq me.n asar hotaa hai
go zaraa der me.n hotaa hai magar hotaa hai
Azad Ansari
Sher
kaafir mujhe na kahiyo ai mominaan-e-saadiq
kartaa huu.n but ko sajda mai.n to KHudaa samajh kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aalam-e-piirii me.n kyaa muu-e-siyah kaa e.atibaar
sub.h-e-saadiq detii hai jhuuTii gavaahii raat kii
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
saadiq se bas ik aan me.n ho jaave tuu kaazib
dikhlaa.uu.n agar tujh ko mai.n us zulf kaa KHam sub.h
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shaKHs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
Ahtamam Sadiq
Sher
tez baarish me.n kahii.n duur sa.Dak par baiThe
ham tire chho.D ke jaane kaa sabab sochte hai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
so apne shahr ke raunaq kii KHair maa.ngnaa tum
mai.n apne gaa.nv se ik shaam le ke aa rahaa huu.n
Ahtamam Sadiq
Sher
tumhaaraa naam kisii ajnabii ke lab par thaa
zaraa sii baat thii dil ko magar lagii hai bahut
Sadique Naseem
Sher
kuchh is tarah shariik tirii anjuman me.n huu.n
mahsuus ho rahii hai KHud apnii kamii mujhe
Sadiq-ul-Qadri
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
na puuchh kaise guzartii hai zindagii ai dost
ba.Dii taviil kahaanii hai phir kabhii ai dost
Sadiq-ul-Qadri
Sher
fursat ho to ye jism bhii miTTii me.n dabaa do
lo phir mai.n zamaa.n aur makaa.n se nikal aayaa