SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadaaqat"
Sher MATCHES FOR "sadaaqat"
Sher
jin ke kirdaar se aatii ho sadaaqat kii mahak
un kii tadriis se patthar bhii pighal sakte hai.n
Unknown
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaaqat likhnaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhnaa
Habib Jalib
Sher
vaqt shaahid hai ki har daur me.n iisaa kii tarah
ham saliibo.n pe liye apnii sadaaqat aa.e
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
baat to jab hai ki jazbo.n se sadaaqat phuuTe
yuu.n to da.avaa hai har ik shaKHs ko sachchaa.ii kaa
Rafique Khayal
Sher
KHuu.n hu.aa dil ki pashiimaan-e-sadaaqat hai vafaa
KHush hu.aa jii ki chalo aaj tumhaare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Sher
Latif Shah Shahid
Sher
Mahfooz Mohammad
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Sher
dil saaf ho kis tarah ki insaaf nahii.n hai
insaaf ho kis tarah ki dil saaf nahii.n hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
phuul the rang the lamho.n kii sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine kii alaamat ham the
Aitbar Sajid
Sher
Hafeez Jaunpuri
Sher
aastaa.n bhii ko.ii mil jaa.egaa ai zauq-e-niyaaz
sar salaamat hai to sajda bhii adaa ho jaa.egaa
Jigar Barelvi
Sher
ik ghar bhii salaamat nahii.n ab shahr-e-vafaa me.n
tuu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare
Kaleem Aajiz
Sher
kis sher kii aamad hai ki ran kaa.np rahaa hai
rustam kaa jigar zer-e-kafan kaa.np rahaa hai