SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadme"
Sher MATCHES FOR "sadme"
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e
Obaidullah Aleem
Sher
dosto.n se is qadar sadme uThaa.e jaan par
dil se dushman kii adaavat kaa gila jaataa rahaa
Haidar Ali Aatish
Sher
jaan-e-tanhaa pe guzar jaa.e.n hazaaro.n sadme
aa.nkh se ashk ravaa.n ho.n ye zaruurii to nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
furqat qubuul rashk ke sadme nahii.n qubuul
kyaa aa.e.n ham raqiib terii anjuman me.n hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
sadme uThaa.e.n rashk ke kab tak jo ho so ho
yaa to raqiib hii nahii.n yaa aaj ham nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Mohammad Aazam
Sher
dard sahne ke liye sadme uThaane ke liye
un se dil apnaa mujhe vaapas talab karnaa pa.Daa
Aziz Hyderabadi
Sher
tire firaaq ke sadme qubuul hai.n lekin
jafaa ke baa'd chale to vafaa kaa daur chale
Jan Kashmiri
Sher
kis vaqt me.n basaa thaa ilaahii ye mulk-e-dil
sadme hii pa.Dte rahte hai.n nit is dayaar par
Meer Hasan
Sher
apne mauqe pe har ik baat bhalii hotii hai
shab-e-furqat me.n ye sadme bhii mazaa dete hai.n
Ashique Akbarabadi
Sher
sadme se baal shiisha-e-garduu.n me.n pa.D gayaa
tum ne dikhaa.ii koThe par apnii kamar kise
Muneer Shikohabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
Allama Iqbal
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
ba.De siidhe-saadhe ba.De bhole-bhaale
ko.ii dekhe is vaqt chehraa tumhaaraa