SEARCH RESULTS
Showing search results for "sajjaada"
Sher MATCHES FOR "sajjaada"
Sher
aa ke sajjaada-nashii.n qais hu.aa mere ba.ad
na rahii dasht me.n KHaalii mirii jaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Sher
kal ke din jo gird mai-KHaane ke phirte the KHaraab
aaj masjid me.n jo dekhaa saahab-e-sajjaada hai.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
ko.ii ham-dam na rahaa ko.ii sahaaraa na rahaa
ham kisii ke na rahe ko.ii hamaaraa na rahaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
Afzal Khan
Sher
ik shahanshaah ne daulat kaa sahaaraa le kar
ham Gariibo.n kii mohabbat kaa u.Daayaa hai mazaaq
Sahir Ludhianvi
Sher
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
Allama Iqbal
Sher
Ahmad Faraz
Sher
subuut hai ye mohabbat kii saada-lauhii kaa
jab us ne va.ada kiyaa ham ne e'tibaar kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
tujh ko KHabar nahii.n magar ik saada-lauh ko
barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne
Sahir Ludhianvi
Sher
sunaa hai Gair kii mahfil me.n tum na jaa.oge
kaho to aaj sajaa luu.n Gariib-KHaane ko
Qamar Jalalvi
Sher
kuchh to tanhaa.ii kii raato.n me.n sahaaraa hotaa
tum na hote na sahii zikr tumhaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
tum saada-mizaajii se miTe phirte ho jis par
vo shaKHs to duniyaa me.n kisii kaa bhii nahii.n hai