SEARCH RESULTS
Showing search results for "sarmaaya"
Sher MATCHES FOR "sarmaaya"
Sher
asr-e-nau mujh ko nigaaho.n mai.n chhupaa kar rakh le
ek miTtii hu.ii tahziib kaa sarmaaya huu.n
Mazhar Imam
Sher
shaa.erii hai sarmaayaa KHush-nasiib logo.n kaa
baa.ns kii har ik Tahnii baa.nsurii nahii.n hotii
Hastimal Hasti
Sher
terii yaado.n kaa hii sarmaayaa liye baiThe hai.n
ham kabhii be-sar-o-saamaan na hone paa.e
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
halkaa thaa nadaamat se sarmaaya ibaadat kaa
ik qatre me.n bah nikle tasbiih ke sau daane
Arzoo Lakhnavi
Sher
maut ke baa'd bhii marne pe na raazii honaa
yahii ehsaas to sarmaaya-e-dii.n hotaa hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
sarmaaya-e-hayaat hu.aa chaahtaa hai KHatm
jis par Guruur thaa vahii daulat nahii.n rahii
Bushra Hashmi
Sher
milaa ke KHaak me.n sarmaaya-e-dil-e-'beKHud'
vo puuchhte hai.n bataa.o ye maal kis kaa thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
dozaKH se bhii KHaraab kahuu.n mai.n bahisht ko
do-chaar agar vahaa.n pe bhii sarmaaya-daar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
Naseem Ansari
Sher
mundamil dil kaa har ik zaKHm hu.aa jaataa hai
yahii sarmaaya thaa jo KHatm hu.aa jaataa hai
Moin Shadab
Sher
dil ki hai sarmaaya-daar-e-izzat o naamuus-e-husn
hai yahii markaz yahii hai daa.era mere liye
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
aa.iine me.n vo dekh rahe the bahaar-e-husn
aayaa miraa KHayaal to sharmaa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
december kii sardii hai us ke hii jaisii
zaraa saa jo chhuu le badan kaa.nptaa hai
Amit Sharma Meet
Sher
dil saraapaa dard thaa vo ibtidaa-e-ishq thii
intihaa ye hai ki 'faanii' dard ab dil ho gayaa
Fani Badayuni
Sher
tum ise shikva samajh kar kis liye sharmaa ga.e
muddato.n ke baa'd dekhaa thaa to aa.nsuu aa ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
iraada to nahii.n hai KHud-kushii kaa
magar mai.n zindagii se KHush nahii.n huu.n