SEARCH RESULTS
Showing search results for "shab-e-visaal"
Sher MATCHES FOR "shab-e-visaal"
Sher
ba.ad-e-shab-e-visaal na dekhuu.n mai.n daaG-e-hijr
yaa-rab charaaG-e-umr bujhaa de havaa-e-sub.h
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
shab-e-visaal lagaayaa jo un ko siine se
to ha.ns ke bole alag baiThiye qariine se
Hafeez Jaunpuri
Sher
shab-e-visaal tire dil ke saath lag kar bhii
mirii luTii hu.ii duniyaa tujhe pukaartii hai
Zafar Iqbal
Sher
shab-e-visaal bahut kam hai aasmaa.n se kaho
ki jo.D de ko.ii Tuk.Daa shab-e-judaa.ii kaa
Ameer Minai
Sher
shab bhar shab-e-visaal rahaa chaa.ndnii kaa lutf
soyaa lipaT ke vo mah-e-taabaa.n tamaam raat
Bartholomew Gardner Sabr
Sher
itnii na kiije jaane kii jaldii shab-e-visaal
dekhe hai.n mai.n ne kaam biga.Dte shitaab me.n
Taskeen Dehlavi
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
shab-e-visaal me.n sun.naa pa.Daa fasaana-e-Gair
samajhte kaash vo apnaa na raazdaar mujhe
Taskeen Dehlavi
Sher
ai 'nuuh' khul chale the vo ham se shab-e-visaal
itne me.n aaftaab numuudaar ho gayaa
Nooh Narvi
Sher
bad-qismato.n ko gar ho mayassar shab-e-visaal
suuraj Guruub hote hii zaahir ho nuur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
shab-e-visaal kab aatii hai mere ghar ai charKH
ki us ke piichhe se dau.Dii sahar nahii.n aatii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shab-e-visaal me.n he he vo un kaa sharmaa kar
dabii zabaan se kahnaa ki aarzuu kyaa hai
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Sher
ye kyaa fusuu.n hai ki sub.h-e-gurez kaa pahluu
shab-e-visaal tirii baat baat se niklaa
Zafar Iqbal
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n