SEARCH RESULTS
Showing search results for "shanaas"
Sher MATCHES FOR "shanaas"
Sher
vo dil-navaaz hai lekin nazar-shanaas nahii.n
miraa ilaaj mire chaara-gar ke paas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
badalte vaqt ne badle mizaaj bhii kaise
tirii adaa bhii ga.ii meraa baa.nkpan bhii gayaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
sitam to ye hai ki zaalim suKHan-shanaas nahii.n
vo ek shaKHs ki shaa.er banaa gayaa mujh ko
Ahmad Faraz
Sher
jaankaarii khel lafzo.n kaa zabaa.n kaa shor hai
jo bahut kam jaantaa hai vo yahaa.n shah-zor hai
Ahmad Shanas
Sher
kyaa maslahat-shanaas thaa vo aadmii 'qatiil'
majbuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Qateel Shifai
Sher
phuul baahar hai ki andar hai mire siine me.n
chaa.nd raushan hai ki mai.n aap hii taabinda huu.n
Ahmad Shanas
Sher
ek bachcha zehn se paisa kamaane kii machine
duusraa kamzor thaa so yarGamaalii ho gayaa
Ahmad Shanas
Sher
ham to kahte the zamaana hii nahii.n jauhar-shanaas
Gaur se dekhaa to apne me.n kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Ahmad Shanas
Sher
usii ne chaa.nd ke pahluu me.n ik charaaG rakhaa
usii ne dasht ke zarro.n ko aaftaab kiyaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
lafzo.n kii dastaras me.n mukammal nahii.n huu.n mai.n
likkhii hu.ii kitaab ke baahar bhii sun mujhe
Ahmad Shanas
Sher
kuchh is adaa se mohabbat-shanaas honaa hai
KHushii ke baab me.n mujh ko udaas honaa hai
Rahul Jha
Sher
saabit ye kar rahaa huu.n ki rahmat-shanaas huu.n
har qism kaa gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Mirza Shauq Lakhnavi
Sher
tumhaarii yaad nikaltii nahii.n mire dil se
nasha chhalaktaa nahii.n hai sharaab se baahar
Faheem Shanas Kazmi
Sher
bichha.D ke tujh se tirii yaad bhii nahii.n aa.ii
makaa.n kii samt palaT kar makii.n nahii.n aayaa