SEARCH RESULTS
Showing search results for "shast-e-but-e-naavik"
Sher MATCHES FOR "shast-e-but-e-naavik"
Sher
mehraab-e-aabruu-e-but-e-kaafir-adaa ko dekh
ka.aba kaa shaiKH baa.ndh ke ehraam rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
ab kaun phire kuu-e-but-e-dushman-e-dii.n se
allaah ke ghar kyuu.n na chale jaa.e.n yahii.n se
Muztar Khairabadi
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
jaan jaanii hai mirii ai but-e-kam-sin tujh par
mar hii jaa.uu.ngaa galaa kaaT ke ik din tujh par
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ulfat me.n tirii ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hame.n ik haath se taalii kaa bajaanaa
Baqaullah 'Baqa'
Sher
gale me.n apne pahnaa hai jo tuu ne ai but-e-kaafir
mirii tasbiih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par
Meer Kallu Arsh
Sher
kyuu.n ujaa.Daa zaahido but-KHaana-e-aabaad ko
masjide.n kaafii na hotii.n kyaa KHudaa kii yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Quli Qutub Shah
Sher
taariif roz lete ho apne Guruur kii
mujh ko barahman-e-but-e-pindaar kar diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
to maa.il-e-ushshaaq-kushii hai to yahaa.n bhii
jiine kii tama.a ai but-e-maGruur kise hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
laam nastaaliiq kaa hai us but-e-KHush-KHat kii zulf
ham to kaafir ho.n agar bande na ho.n is laam ke
Unknown
Sher
agar chilman ke baahar vo but-e-kaafir-adaa nikle
zabaan-e-shaiKH se salle-alaa salle-alaa nikle
Ranjoor Azimabadi
Sher
sab ho chuke hai.n us but-e-kaafir-adaa ke saath
rah jaa.e.nge rasuul hii bas ab KHudaa ke saath
Akbar Allahabadi
Sher
kuchh na suujhaa us but-e-naazuk-adaa ko dekh kar
rah ga.e sakte me.n ham shaan-e-KHudaa ko dekh kar
Hargopal Tafta
Sher
lagaa.ii kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par
subuu-ba-dosh hai saaqii jo aabla dil kaa
Shah Naseer
Sher
gar vo but-e-gulnaar-qabaa jalva-numaa ho
de.n KHarqa-e-islaam ko ahl-e-haram aatish
Meer Mohammadi Bedar
Sher
dekh pachhtaa.egaa o but mire tarsaane se
uTh ke ka.abe ko chalaa jaa.uu.ngaa but-KHaane se
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
tuu gosh-e-dil se sune us ko gar but-e-be-mehr
fasaana turfa hai aur maajraa hai zor miraa