SEARCH RESULTS
Showing search results for "siina"
Sher MATCHES FOR "siina"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Allama Iqbal
Sher
ye sair hai ki dupaTTa u.Daa rahii hai havaa
chhupaate hai.n jo vo siina kamar nahii.n chhuptii
Dagh Dehlvi
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
tiir par tiir lagaa.o tumhe.n Dar kis kaa hai
siina kis kaa hai mirii jaan jigar kis kaa hai
Ameer Minai
Sher
ab dekh le ki siina bhii taaza hu.aa hai chaak
phir ham se apnaa haal dikhaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
mehnat se hai azmat ki zamaane me.n nagii.n ko
be-kaavish-e-siina na kabhii naamvarii dii
Bahadur Shah Zafar
Sher
ab kii sardii me.n kahaa.n hai vo alaav siina
ab kii sardii me.n mujhe KHud ko jalaanaa hogaa
Naeem Sarmad
Sher
siina dahak rahaa ho to kyaa chup rahe ko.ii
kyuu.n chiiKH chiiKH kar na galaa chhiil le ko.ii
Jaun Eliya
Sher
is siina-e-viiraa.n me.n khilaa.e na kabhii phuul
kyo.n baaG pe itraatii rahii baad-e-sabaa hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
KHaamushii hii me.n sahii par kabhii iz.haar to kar
is qadar zabt se siina tiraa phaT jaa.egaa
Shahzad Ahmad
Sher
dekhiye hogaa shrii-krishn kaa darshan kyuu.n-kar
siina-e-ta.ng me.n dil gopiyo.n kaa hai bekal
Mohsin Kakorvi
Sher
Shad Azimabadi
Sher
kitnaa dilkash hai tirii yaad kaa paalaa hu.aa ashk
siina-e-KHaak pe mahtaab giraa ho jaise
Zaheer Kashmiri
Sher
aashiq-mizaaj rahte hai.n har vaqt taak me.n
siina ko is tarah se ubhaaraa na kiijiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ma.aluum nahii.n mujh ko ki jaavegaa kidhar ko
yuu.n siina tiraa chaak-e-garebaa.n se nikal kar