SEARCH RESULTS
Showing search results for "sochte"
Sher MATCHES FOR "sochte"
Sher
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai
sar me.n saudaa ho to diivaar me.n dar bantaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
ab sochte hai.n laa.e.nge tujh saa kahaa.n se ham
uThne ko uTh to aa.e tire aastaa.n se ham
Majrooh Sultanpuri
Sher
jis tarah log KHasaare me.n bahut sochte hai.n
aaj kal ham tire baare me.n bahut sochte hai.n
Iqbal Kausar
Sher
ab ham bhii sochte hai.n ki baazaar garm hai
apnaa zamiir bech ke duniyaa KHariid le.n
Iqbal Azeem
Sher
zindagii KHvaab hai aur KHvaab bhii aisaa ki miyaa.n
sochte rahiye ki is KHvaab kii ta.abiir hai kyaa
Ahmad Ata
Sher
ai inqalaab-e-nau tirii raftaar dekh kar
KHud ham bhii sochte hai.n ki ab tak kahaa.n rahe
Shaukat Pardesi
Sher
phir aaj kaise kaTegii pahaa.D jaisii raat
guzar gayaa hai yahii baat sochte hu.e din
Amjad Islam Amjad
Sher
is qadar Duube gunaah-e-ishq me.n tere habiib
sochte hai.n jaa.e.nge kis mu.nh se tauba kii taraf
Afeef Siraj
Sher
ye sochte hii rahe aur bahaar KHatm hu.ii
kahaa.n chaman me.n nasheman bane kahaa.n na bane
Asar Lakhnavi
Sher
ye ham jo peT se hii sochte hai.n shaam o sahar
kabhii to jaa.e.nge is daal-bhaat se aage
Zafar Iqbal
Sher
ab yahii sochte rahte hai.n bichha.D kar tujh se
shaayad aise nahii.n hotaa agar aisaa karte
Asim Wasti
Sher
kal thii ye fikr use haal sunaa.e.n kaise
aaj ye sochte hai.n us ko sunaa kyuu.n aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
yaad aatii hai achchhii sii ko.ii baat sar-e-shaam
phir sub.h talak sochte rahte hai.n vo kyaa thii