SEARCH RESULTS
Showing search results for "sochte"
Ghazal MATCHES FOR "sochte"
Ghazal
us ke hii baazu.o.n me.n aur us ko hii sochte rahe
jism kii KHvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii
Parveen Shakir
Ghazal
chalte rahte hai.n ki chalnaa hai musaafir kaa nasiib
sochte rahte hai.n kis raahguzar ke ham hai.n
Nida Fazli
Ghazal
sulagte sochte viiraan mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahd-e-javaanii magar guzar bhii gayaa
Ahmad Faraz
Ghazal
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai
sar me.n saudaa ho to diivaar me.n dar bantaa hai
Jaleel 'Aali'
Ghazal
ghar se to chale aate hai.n baazaar kii jaanib
baazaar me.n ye sochte phirte hai.n ki le.n kyaa
Shuja Khaavar
Ghazal
saa.ns tak bhii nahii.n lete hai.n tujhe sochte vaqt
ham ne is kaam ko bhii kal pe uThaa rakkhaa hai
Wasi Shah
Ghazal
ye zamii.n chaa.nd sitaaro.n kaa badal kaise ho
sochtaa mai.n bhii bahut kuchh huu.n amal kaise ho
Ashfaq Husain
Ghazal
vo chaahtaa to ye haalaat Thiik ho jaate
bichha.Dne vaale sabhii aisaa sochte ho.nge
Fariha Naqvi
Ghazal
safar me.n sochte rahte hai.n chhaa.nv aa.e kahii.n
ye dhuup saaraa samundar hii pii na jaa.e kahii.n
Mohammad Alvi
Ghazal
mai.n is liye bhii bahut muKHtalif huu.n logo.n se
vo sochte hai.n ki aisaa hu.aa to kyaa hogaa
Jawad Sheikh
Ghazal
ham ne to apne jism me.n ik dil ko maaraa hai
kyaa phir bhii sochte ho ki qaatil na ho.nge ham
Muntazir Firozabadi
Ghazal
ham sochte hai.n raat me.n taaro.n ko dekh kar
sham.e.n zamiin kii hai.n jo daaG aasmaa.n ke hai.n