SEARCH RESULTS
Showing search results for "surKH-ruu"
Sher MATCHES FOR "surKH-ruu"
Sher
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
Sher
adaalato.n hii se insaaf surKH-ruu hai magar
adaalato.n hii me.n insaaf haar jaataa hai
Munawwar Rana
Sher
ba.Dh gayaa hai is qadar ab surKH-ruu hone kaa shauq
log apne KHuun se jismo.n ko tar karne lage
Iqbal Sajid
Sher
ye kis ne ham se lahuu kaa KHiraaj phir maa.ngaa
abhii to so.e the maqtal ko surKH-ruu kar ke
Mohsin Naqvi
Sher
badan kaa saaraa lahuu khi.nch ke aa gayaa ruKH par
vo ek bosa hame.n de ke surKH-ruu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
ga.e the hazrat-e-zaahid to zard thaa chehra
sharaab-KHaane se nikle to surKH-ruu nikle
Rasheed lakhnavi
Sher
sab qatl ho ke tere muqaabil se aa.e hai.n
ham log surKH-ruu hai.n ki manzil se aa.e hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mirii hathelii pe ho.nTo.n se aisii mohr lagaa
ki umr bhar ke liye mai.n bhii surKH-ruu ho jaa.uu.n
Munawwar Rana
Sher
ra.ng aa jaataa thaa un kii diid se ruKH par mire
dekh kar ab vo bhii mujh ko surKH-ruu hone lage
Aazim Kohli
Sher
tumhaarii zaat havaala hai surKH-ruu.ii kaa
tumhaare zikr ko sab shart-e-fan banaate hai.n
Amir Hamza Saqib
Sher
ye mo.ajiza hai mohabbat me.n surKH-ruu.ii kaa
bhare jahaan me.n mujh be-hunar ke charche hai.n
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
KHuub-ruu kaun ye aayaa chaman me.n aaj ki yaa.n
sharm se surKH hu.e jaate hai.n ye phuul sabhii