SEARCH RESULTS
Showing search results for "taaqat"
Sher MATCHES FOR "taaqat"
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
aazaad to barso.n se hai.n arbaab-e-gulistaa.n
aa.ii na magar taaqat-e-parvaaz abhii tak
Wahid Premi
Sher
dil ko niyaaz-e-hasrat-e-diidaar kar chuke
dekhaa to ham me.n taaqat-e-diidaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
aazaadii ne baazuu bhii salaamat nahii.n rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laa.e.n kahaa.n se
Bismil Azimabadi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
phir is mazaaq ko jamhuuriyat kaa naam diyaa
hame.n Daraane lage vo hamaarii taaqat se
Nomaan Shauque
Sher
jamhuuriyat kii laash pe taaqat hai KHanda-zan
is barahna nizaam me.n har aadmii kii KHair
Ajay Sahaab
Sher
be-ishq umr kaT nahii.n saktii hai aur yaa.n
taaqat ba-qadr-e-lazzat-e-aazaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
maa.ngne par kyaa na degaa taaqat-e-sabr-o-sukuun
jis ne be maa.nge ataa kar dii pareshaanii mujhe