SEARCH RESULTS
Showing search results for "taar-taar"
Sher MATCHES FOR "taar-taar"
Sher
mujhe to ranj qabaa-haa-e-taar-taar kaa hai
KHizaa.n se ba.Dh ke gulo.n par sitam bahaar kaa hai
Shaukat Wasti
Sher
phir sii rahaa huu.n pairahan-e-taar-taar ko
phir daaG-bel Daal rahaa huu.n bahaar kii
Wasif Banarsi
Sher
rafaaqato.n kaa jahaa.n taar-taar dekhaa hai
vajuud-e-ziist kaa u.Dtaa Gubaar dekhaa hai
Mohammad Daood Mohsin
Sher
sau baar taar taar kiyaa to bhii ab talak
saabit vahii hai dast o garebaa.n kii dostii
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aisaa karuu.ngaa ab ke garebaa.n ko taar taar
jo phir kisii tarah se kisii se rafuu na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ehsaas-e-jurm jaan kaa dushman hai 'ja.afarii'
hai jism taar taar sazaa ke baGair bhii
Fuzail Jafri
Sher
junuu.n ke haath se hai in dino.n garebaa.n ta.ng
qabaa pukaartii hai taar taar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Sher
yahii nahii.n ki nigaaho.n ko ashk-baar kiyaa
tire firaaq me.n daaman bhii taar taar kiyaa
Iqbal Kaifi
Sher
nazar to pher mire kaaGazii badan kii taraf
abhii ye zarb-e-musalsal se taar-taar nahii.n
Arman Khan Arman
Sher
adaa-e-KHaar se gulshan kii ba.Dh ga.ii ziinat
agarche phuulo.n ke daaman hai.n taar taar abhii
Afroz Alam
Sher
ha.ns ha.ns ke apnaa daaman-e-ra.ngii.n diyaa mujhe
aur mai.n ne taar taar kiyaa haa.e kyaa kiyaa
Hairat Gondvi
Sher
Naina Adil
Sher
ham aise baKHt ke maare ki shahr me.n aa kar
libaas-e-gardish-e-dauraa.n bhii taar taar kiyaa
Ahmar Nadeem
Sher
KHvaab kyaa us kaa bunaa mai.n ruuh tak tar ho gayaa
ek qatra is qadar phailaa samundar ho gayaa