SEARCH RESULTS
Showing search results for "taazgii"
Sher MATCHES FOR "taazgii"
Sher
phuulo.n kii taazgii hii nahii.n dekhne kii chiiz
kaa.nTo.n kii samt bhii to nigaahe.n uThaa ke dekh
Asad Badayuni
Sher
nikhar ga.e hai.n pasiine me.n bhiig kar aariz
gulo.n ne aur bhii shabnam se taazgii paa.ii
Ghulam Rabbani Taban
Sher
phuulo.n kii taazgii me.n udaasii hai shaam kii
saa.e Gamo.n ke itne to gahre kabhii na the
Faraz Sultanpuri
Sher
jab puraanaa lahja kho detaa hai apnii taazgii
ik na.ii tarz-e-navaa iijaad kar lete hai.n ham
Wamiq Jaunpuri
Sher
kaliyo.n me.n taazgii hai na phuulo.n me.n baas hai
tere baGair saaraa gulistaa.n udaas hai
Junaid Hazin Lari
Sher
Haneef akhgar
Sher
taazgii hai suKHan-e-kuhna me.n ye baad-e-vafaat
log aksar mire jiine kaa gumaa.n rakhte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
dil-e-fasurda pe sau baar taazgii aa.ii
magar vo yaad ki jaa kar na phir kabhii aa.ii
Arsh Malsiyani
Sher
chaahiye ek mulaaqaat mahiine me.n zaruur
taazgii halqa-e-ahbaab me.n aa jaatii hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
unhii.n se taazgii-e-zehn hai nasiib mujhe
gulaab chehre hamesha nazar me.n rahte hai.n
Abdussamad Khateeb
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
kis kis kii zabaa.n rokne jaa.uu.n tirii KHaatir
kis kis kii tabaahii me.n tiraa haath nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
ham duniyaa se jab ta.ng aayaa karte hai.n
apne saath ik shaam manaayaa karte hai.n
Taimur Hasan
Sher
ziist se ta.ng ho ai 'daaG' to jiite kyuu.n ho
jaan pyaarii bhii nahii.n jaan se jaate bhii nahii.n