SEARCH RESULTS
Showing search results for "tah-e-daam"
Sher MATCHES FOR "tah-e-daam"
Sher
huu.n vo barbaad ki qismat me.n nasheman na qafas
chal diyaa chho.D kar sayyaad tah-e-daam mujhe
Tilok Chand Mahroom
Sher
zulf ke jaal me.n ma.ashuuq kaa sar hai KHud bhii
qaidiyo.n muzhda ki sayyaad tah-e-daam aayaa
Zareef Lakhnavi
Sher
chashm-e-sayyaad pe har lahza nazar rakhtaa hai
haa.e vo said jo kahne ko tah-e-daam nahii.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
jaane kyaa soch ke phir in ko rihaa.ii de dii
ham ne ab ke bhii parindo.n ko tah-e-daam kiyaa
Ambar Bahraichi
Sher
kul kaa.enaat fikr se aazaad ho ga.ii
insaa.n misaal-e-dast-e-tah-e-sa.ng rah gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
chalte rahe ham tund havaa.o.n ke muqaabil
'aazaad' charaaG-e-tah-e-daamaa.n na rahe ham
Jagan Nath Azad
Sher
chhaa.e phuulo.n se bhii sayyaad to aabaad na ho
vo qafas kyaa jo tah-e-daaman-esayyaad na ho
Meer Anees
Sher
kahte hu.e saaqii se hayaa aatii hai varna
hai yuu.n ki mujhe durd-e-tah-e-jaam bahut hai
Mirza Ghalib
Sher
ishq ke dard kaa KHud ishq ko ehsaas nahii.n
khi.nch gayaa baade se bhii durd-e-tah-e-jaam bahut
Firaq Gorakhpuri
Sher
numuud un kii bhii daur-e-subuu me.n thii kal raat
abhii jo daur-e-tah-e-aasmaa.n nahii.n guzre
Sirajuddin Zafar
Sher
zalzale yuu.nhii zamiino.n pe nahii.n aate hai.n
ko.ii betaab tah-e-KHaak ta.Daptaa hogaa
Unknown
Sher
jo log guzarte hai.n musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
Obaid Azam Azmi
Sher
salaam un pe tah-e-teG bhii jinho.n ne kahaa
jo teraa hukm jo terii razaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Sher
shabnam kii hai a.ngiyaa tale a.ngiyaa kii pasiina
kyaa lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aa.ii
Muneer Shikohabadi
Sher
kisii ke haath me.n jaam-e-sharaab aayaa hai
ki maahtaab tah-e-aaftaab aayaa hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
aahaT bhii agar kii to tah-e-zaat nahii.n kii
lafzo.n ne ka.ii din se ko.ii baat nahii.n kii
Javed Nasir
Sher
us but ke nahaane se hu.aa saaf ye paanii
motii bhii sadaf me.n tah-e-dariyaa nazar aayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
ruKH tah-e-zulf hai aur zulf pareshaa.n sar par
maa.ng baalo.n me.n nahii.n hai ye numaayaa.n sar par