SEARCH RESULTS
Showing search results for "taimuur"
Sher MATCHES FOR "taimuur"
Sher
ham duniyaa se jab ta.ng aayaa karte hai.n
apne saath ik shaam manaayaa karte hai.n
Taimur Hasan
Sher
safar me.n hotii hai pahchaan kaun kaisaa hai
ye aarzuu thii mire saath tuu safar kartaa
Taimur Hasan
Sher
mirii tavajjoh faqat mire kaam par rahegii
mai.n KHud ko saabit karuu.ngaa da.avaa nahii.n karuu.ngaa
Taimur Hasan
Sher
mai.n ne baKHsh dii tirii kyuu.n KHataa tujhe ilm hai
tujhe dii hai kitnii ka.Dii sazaa tujhe ilm hai
Taimur Hasan
Sher
zindagii bhar kii riyaazat mirii be-kaar ga.ii
ik KHayaal aayaa thaa badle me.n vo kyaa detaa hai
Taimur Hasan
Sher
Taimur Hasan
Sher
ye ja.ng jiit hai kis kii ye haar kis kii hai
ye faisla mirii TuuTii kamaan se hogaa
Taimur Hasan
Sher
Taimur Hasan
Sher
zindagii ja.ng hai a.asaab kii aur ye bhii suno
ishq a.asaab ko mazbuut banaa detaa hai
Taimur Hasan
Sher
KHushii zaruur thii 'taimuur' din nikalne kii
magar ye Gam bhii sivaa thaa ki raat biit ga.ii
Taimur Hasan
Sher
makaa.n se hogaa kabhii laa-makaan se hogaa
miraa ye ma.arka dono.n jahaan se hogaa
Taimur Hasan
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Sher
kaa.nTo.n se dil lagaa.o jo taa-umr saath de.n
phuulo.n kaa kyaa jo saa.ns kii garmii na sah sake.n
Akhtar Shirani
Sher
vaqt har zaKHm kaa marham to nahii.n ban saktaa
dard kuchh hote hai.n taa-umr rulaane vaale