SEARCH RESULTS
Showing search results for "tamga"
Sher MATCHES FOR "tamga"
Sher
ye nahii.n hai ki navaaze na ga.e ho.n ham log
ham ko sarkaar se tamGa milaa rusvaa.ii kaa
Saleem Ahmed
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
shohrat kii bulandii bhii pal bhar kaa tamaashaa hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhii saktii hai
Bashir Badr
Sher
ga.nvaa.ii kis kii tamannaa me.n zindagii mai.n ne
vo kaun hai jise dekhaa nahii.n kabhii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
Allama Iqbal
Sher
tiir khaane kii havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshii kii tamannaa hai to sar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.nsuu kii jagah aa.nkh se hasrat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Sher
aaGaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil me.n tamannaa thii ab dil hii tamannaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
KHaamushii achchhii nahii.n inkaar honaa chaahiye
ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye